Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!
Home Ghazal
Nazm
Haiku
Ghazal
Drawani hai bahut kaali kaali raat chalo
Kahan akele chale aao mere saath chalo

Kabhi kabhi meri baahon mein daal do baahen
Kabhi kabhi mere haathon mein de ke haat chalo

Chalo ke chal chuka pedon pe raat ka jaadoo
Leepat ke so chukey aapas mein jangalaat chalo

Na chaand taron ki qandeelen hain na koi deeya
Bujhi bujhi see hai tanweer-e-kainaat chalo

Suhani raat bulaye gi jab, chale aana
Abhi to saare manazir hain waahiyaat chalo

Rawana hone laga qaafla baharon ka
Woh chaand taron ki rukhsat hui baarat chalo

Chhalak raha hai her ek barg-e-gul ka paimaanaa
Jo dekhna hai tumhe manzar-e-hayat chalo

Khabar bhi hai ke nahin, barah baj chuke Nashtar
Thithur na jao kahin poos ki hai raat chalo