aah ko chaahiye ik umr asar hone tak kaun jiita hai terii zulf ke sar hone tak daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-naha.ng dekhe.n kyaa guzre hai qatare pe gauhar hone tak [daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle; sad = hundred; naha.ng = crocodile;] [sad_kaam-e-nahaNg = crocadile with a hundred jaws; gauhar = pearl] aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab dil kaa kyaa ra.ng karuu.N Khuun-e-jigar hone tak [sabr-talab = patient] ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin Khaak ho jaaye.nge ham tumako Khabar hone tak [taGaaful = neglect/ignore] partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak [partav-e-Khuur = sun's rays; shabanam = dew; fanaa = decimate; inaayat = favour] yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak [besh = excess; Gaafil = ignorant; raqs = dance, sharar = flash/fire] Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj shamm'a har ra.ng me.n jalatii hai sahar hone tak [juz = other than; marg = death] ------------------------------------------------------ Ghalib Sung by Jagjit Singh