Awaara hai galiyo.n mein, Main aur meri tanhayee Jaye.n to kaha.n jaye.n, har maud pe ruswayee Yeh phool se chehre hain, haste hue' guldaste' koi nahi apna, be-gaane' sabh raste' Rahe.n bhi tamashaaye, rahi bhi tamashaayee Armaan sulagte hain seene' mein, chitta jaise qatil nazar aati hai, duniya ki hawa jaise rotee hai mere dil par, bajti hui sehnayee Aakaash ka maathey par, taron ka charag-an hai pehlu mein magar mere, zakhmon ka gulista.n hai Aankho.n se lahoo tapka, daman mein bahaar aayi -------------------------------------------------- Poet : Ali Sardar Jafri Singer : Jagjit Singh Album : Awaaz