Baat nikalegi to fhir doooor talak jayegi Log bewajha udaasi ka sabab poochenge Yeh bhi Poochenge ki tum itni pareshaan kyoon ho Ungliyan uthengi sookhe hue baalon ki taraf Ikk nazar dekhenge guazre hue saalon ki taraf Choodiyon par bhi kae tanz kiye jayeinge Kaanpte hue haathon pe bhi fikre kasse jayeinge Log zalim hain, har ikk baat ka taana denge Baton baton mein mera zikr bhi le aayenge Baton baton mein mera zikr bhi le aayenge Unki Baaton ka zara sa bhi asar mat lena Warna chehre ke tasur se samajh jayeinge Chahe kucch bhi ho, sawalaat na karna unse Chahe kucch bhi ho, sawalaat na karna unse Mere barein mein koi baat na karna unse Baar nikalegi to fhir dooor talak jayeegi