Dayar-e-dil ki raat mein, charagh sa jala gaya Mila nahi to kya hua, woh shakkl to dikha gaya Judai.yon ke zakhm, dard-e-zindagi ne bhar diye Tujhe neendh aa gayi, mujh bhi sabr aa gaya Yeh subah-o' ki safediyaa.n, yeh dopahar ki zardiya.n abh aaine' mein dekhta hoon, main kahan chala gaya Woh dosti to khair abh, naseeb-e-dushmana hui woh chotti chotti rannjisho.n ka lutf bhi chala gaya Yeh kis khushi ki reet par, ghamm-on ko neendh aa gayi woh lehar kiss taraf gayi, yeh main kahan sama gaya ------------------------------------------------------------- Poet : Nasir Kazmi Singers : Ghulam Ali/Asha Bhosle Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1