Gaye dinon ka suragh lekar, kahan se aaya kahan se gaya woh Ajeeb manoos ajnabi thaa, mujhe to hairaan kar gaya woh Bus ek moti si chabb dikha har, bus ek meethi si dunnh suna kar sitara-e-shaam ban ke aaya, barang-e-khwaab-e-sehar gaya woh Na abh woh yado.n ka chadta darya, na fursato.n ki uddas barkha yoonhi zara si kasak hai dil mein, jo zakhm gehra thaa, bhar gaya woh Woh hijr ki raat ka sitaaa, woh hum-nafas woh hum-sukhan humara sada rahe uska naam pyaara, suna hai kal raat marr gaya woh Woh raat ka be-nava musafir, woh tera shayar, woh tera 'Nasir' teri gali tak to dekha thaa, fhir na jaane' kidhar gaya woh ______________________________________________________________________ Poet : Nasir Kazmi Singer : Asha Bhosle/Ghulam Ali Album : Mehraj-e-Ghazal (Asha Bhosle Presented By Ghulam Ali) -Vol 1