Gulshan ki faqat phoolon se nahi Kaanton se bhi zeenat hoti hai Jeene ke liye Iss duniya mein gumm ki bhi Zaroorat hoti hai Aae waIz-e-nadaan karta hai tu ek qayamat ka charcha Yahan roz nighain milti hai yahan roz qayamat hoti hai Woh pur-sishh-e-gumm ko aayein hai Kucch keh na sakoon Chup reh na sakoon Khamosh rahoon to mushkil hai keh doon to shikaayat hoti hai Karna hee padega zabt-e-alam Peene hi padeinge yeh aansoon Faryaad-o-fugaan se ae nadaan Tauheen-e-mohabbat hoti hai Jo Aake rukke daman pe Sabah Woh ashq nahi paani hai Jo Ashq na chalke aankhon se Uss Ashq ki keemat hoti hai -Jagjit Singh Album : DESIRES