Jabh nahi aaye theyy tum, tabh bhi to tum aaye theyy Aankh mein noor ki, aur dil mein lahoo ki soorat Yaad ki tarha dadakte hue' dil ki soorat Tum nahi aaye abhi, fhir bhi to tum aaye ho Raat ke seene mein, mehtaab ke khanjar ki tarah Subah ke haath mein, khursheed ke sagar ki tarah Tum nahi aaogey jabh, fhir bhi to tum aaogey Zulf dar zulf, bikhar jayega fhir raat ka rang shab-e-tanhayee mein bhi lutf-e-mulakaat ka rang Aaoo aaney ki karein baat, ke tumm aaye ho Abh tum aaye ho to, main kaun se shayy nazar karoon Ke mere paas siva meher-o-wafa ke kuch bhi nahi Ek dil, ek tamanna ke siva kuch bhi nahi ---------------------------------------------- Poet : Ali Sardar Jafri Singer : Jagjit Singh Album : Awaaz