Kahin Aisa na ho daman jala lo Humare Aansuon par khaak dalo Manana bhi zaroori hai to fhir tum Humein sabh se khafha ho kar mana lo Bahut royi hui lagti hain Aankhein Meri khatir zara kajal laga lo Akelepan se khauff aata hai mujhko Kahan ho aae mere khwabo-khayalo Bahut maayoos baitha hoon main tumse Kabhi aakar mujhe hairat mein daalo