Khushboo ki tharha ayaa, woh tez hawaon me, Mangaa tha jise hamne din raath duwaon me! Tum chat pe nahin aayen, mai ghar se nahin niklaa, Yeh chaand bahut bhatka, saawan ki ghataon me! Is shaher me ek ladki bilkul hai ghazal jaisi, Phool ka badan waali, khushboo si adaon me! Duniya ki tarha woh bhi hansthe hai mohobbat par, Doobe huwe rahate the jo log wafaon me! Hanste huwe aaye ho, rote huwe jaoge, Kaante bhi chubhaayenge yeh phul adaon me! --------------------------------------------- Poet : Bashir Badr