Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 1

Slok


Ek Onkar Satgur Prasad


Aad Guru Namah

Aadi Guru Ko Namaskar Hai

Jugad Guru Namah

Yugo Aadiko Ke Hari Ko Namaskar Hai

Satgur Namah

Sachchey Guru Ko Namaskar Hai

Shri Gurudev Namah----1

Sabse Bade Guru Ko Namaskar Hai



Asatpadi


Simrau Simar Simar Sukh Pavau

Hari Ka Smaran Karo Aur Sukh Prapt Karo

Kali Kales Tan Mahi Mitavau

Sharir Mein Se Kalah, Kalesh Mita Lo

Simrau Jaas Bisambhar Ekay

Ek Brahmand Ke Malak Ka Smaran Karo

Naam Japat Agnat Anekay

Aneka Aur Agnit Uska Naam Japte Hai

Ved Puran Simrit Sudhakhyar

Ved, Puran Smritiya Aur Pavitra Akshar

Kino Ram Naam Ek Aakhyar

Ram Naam Ke Ek Hi Akshar Ne Kiye Hai

Kinka Ek Jas Jiya Basavey

Naam Ka Ek Karam Jiske Man Mein Basa De

Ta Ki Mahima Gani Na Aavey

Uski Upma Gini Nahi Jaati

Kaankhi Ekay Daras Tuharo

Jo Tumhare Ek Darshan Ke Ichchak Hai

Nanak Un Sangi Mohi Udhaaro----1

Hey Nanak! Unke Saath Mujhe Bhi Taar Do


Sukhmani Sukh Amrit Prabh Naam

Prabh Ka Naam Hi Sukho Ki Mani Amrit Hai

Bhagat Jana Ke Man Bisram

Jiska Nivas Bhakto Ke Man Mein Hai

Prabh Ke Simran Garb Na Basey

Prabh Ke Smaran Se Garb Baas Nahi Hota

Prabh Ke Simran Dukh Jam Nasey

Prabhu Smaran Se Dukh Aur Yamdoot Bhag Jaate Hai

Prabh Ke Simran Kaal Parharey

Prabhu Smaran Se Kaal Tyag Jaata Hai

Prabh Ke Simran Dusman Tarey

Prabhu Smaran Se Dushman Tal Jaate Hai

Prabh Simrat Kachu Vigna Na Laagey

Prabhu Smaran Se Koi Rukavat Nahi Aati

Prabh Ke Simran Andin Jaagey

Prabhu Ke Smaran Se Raat Din Hoshyaar Rehta Hai

Prabh Ke Simran Bhau Na Byaapey

Prabhu Ke Smaran Se Bhay Nahi Aata

Prabh Ke Simran Dukh Ne Santaapey

Prabhu Ke Smaran Se Dukh Aur Santap Nahi Hota

Prabh Ka Simran Saadh Ke Sang

Prabhu Smaran Santo Ki Sangat Mein Hota Hai

Sarab Nidhan Nanak Hari Rang----2

Hey Nanak! Hari Ke Rang Mein Sab Khazane Hai


Prabh Ke Simran Ridhi Sidhi Navnidhi

Prabhu Smaran Se Ridhi Sidhiya Nav-Nidhiyan Hai

Prabh Ke Simran Gyan Dhyan Tat Budhi

Prabhu Smaran Se Gyan, Dhyan Aur Budhi Ka Tatva Hai

Prabh Ke Simran Jap Tap Puja

Prabhu Smaran Mein Jap, Tap Aur Puja Aa Jaate Hai

Prabh Ke Simran Binsey Duja

Prabhu Smaran Se Dujaygi Ka Bhed Bhaav Jaata Hai

Prabh Ke Simran Tirath Isnani

Prabhu Smaran Se Hi Tirth Snan Ho Jaata Hai

Prabh Ke Simran Dargah Mani

Prabhu Smaran Se Dargah Mein Maan Prapt Hota Hai

Prabh Ke Simran Hoi Su Bhala

Prabhu Smaran Se Jo Hota Hai Bhala Hai

Prabh Ke Simran Sufal Fala

Prabhu Smaran Se Achchey Fal Milte Hai

Se Simrahi Jin Aap Simraye

Vah Smaran Karte Hai, Jinse Swayam Karvata Hai

Nanak Taakey Laagau Paye----3

Hey Nanak! Mein Unke Charno Se Lagta Hoo


Prabh Ka Simran Sabh Te Ooncha

Prabhu Ka Smaran Sab Se Ooncha Hai

Prabh Ke Simran Udhrey Moocha

Prabhu Smaran Se Asankhya Tar Gaye Hai

Prabh Ke Simran Trisna Bujhey

Prabhu Smaran Se Trishna Jaati Hai

Prabh Ke Simran Sabh Kuch Sujhey

Prabhu Smaran Se Pratyek Soojh Ho Jaati Hai

Prabh Ke Simran Nahi Jam Traasa

Prabhu Smaran Se Yamo Ka Bhay Nahi Rehta

Prabh Ke Simran Puran Aasa

Prabhu Smaran Se Sabhi Aashayein Poorna Hoti Hai

Prabh Ke Simran Man Ki Mal Jae

Prabhu Smaran Se Man Ki Mael Jaati Hai

Amrit Naam Rid Mahi Samae

Naam Rupi Amrit Hriday Mein Bas Jaata Hai

Prabh Ji Bashi Saadh Ki Rasna

Prabhu Sant Ki Jihva Par Basta Hai

Nanak Jan Ka Daasni Dasna----4

Hey Nanak! Mein Bhakto Ke Daso Ka Das Hoo


Prabh Kau Simrahi Se Dhanvantey

Prabhu Smaran Karne Wale Dhanwan Hai

Prabh Kau Simrahi Se Pativantey

Prabhu Smaran Karne Wale Izzat Wale Hai

Prabh Kau Simrahi Se Jan Parvaan

Prabhu Smaran Wale Ishwar Ko Manzoor Hai

Prabh Kau Simrahi Se Purakh Pradhan

Prabhu Smaran Karne Wale Pradhan Maane Jaate Hai

Prabh Kau Simrahi Si Bemuhtaajey

Prabhu Smaran Wale Mohtaj Nahi Hote

Prabh Kau Simrahi Si Sarab Ke Raajey

Prabhu Smaran Karne Wale Sab Ke Raja Hai

Prabh Kau Simrahi Se Sukhvaasi

Prabhu Smaran Wale Sukho Mein Baste Hai

Prabh Kau Simrahi Sada Abinasi

Prabhu Smaran Wale Abinashi Hai

Simran Te Laagey Jin Aap Dayala

Vah Smaran Mein Lagey Hai, Jin Par Ishwar Dayalu Hai

Nanak Jan Ki Mangey Ravala----5

Hey Nanak! Mein Bhakto Ki Charan Dhool Maangta Hoo


Prabh Kau Simrahi Se Parupkari

Prabhu Ka Smaran Karne Wale Parupkari Hai

Prabh Kau Simrahi Tin Sad Balihari

Jo Prabhu Smartey Hai, Unke Kurbaan Jaata Hoo

Prabh Kau Simrahi Se Mukh Suhavey

Prabhu Ko Smarney Walo Ke Mukh Sundar Hai

Prabh Kau Simrahi Tin Sukh Bihavey

Prabhu Ka Smaran Karne Walo Ko Sukh Prapt Hota Hai

Prabh Kau Simrahi Tin Aatam Jita

Prabhu Smaran Karne Walo Ne Man Ko Jeeta Hai

Prabh Kau Simrahi Tin Nirmal Rita

Prabhu Smaran Walo Ki Maryada Pavitra Hai

Prabh Kau Simrahi Tin Anand Ganerey

Prabhu Smaran Karne Walo Ko Badey Anand Hote Hai

Prabh Kau Simrahi Basahi Hari Nerey

Prabhu Ka Smaran Karne Se Hari Ke Paas Rehte Hai

Sant Kripa Te Andin Jagi

Sant Ki Kripa Se Vey Din Raat Jaagte Hai

Nanak Simran Purey Bhagi----6

Hey Nanak! Purna Bhagyo Se Hi Smaran Hota Hai


Prabh Ke Simran Karaj Purey

Prabhu Smaran Se Sabhi Kaarya Purna Hote Hai

Prabh Ke Simran Kabahu Na Jhurey

Prabhu Smaran Karne Wale Kabhi Nahi Pachtatey

Prabh Ke Simran Hari Gun Bani

Prabhu Smarno Mein Hari Ke Guno Ki Bani Hai

Prabh Ke Simran Sahaj Samani

Prabhu Smaran Se Aatma Anand Hoti Hai

Prabh Ke Simran Nihchal Asan

Prabhu Smaran Se Atal Padvi Prapt Hoti Hai

Prabh Ke Simran Kamal Bigasan

Prabhu Smaran Se Ruh Khil Jaati Hai

Prabh Ke Simran Anhad Jhunkar

Prabhu Smaran Se Ek Ras Shabdonki Dhwani Hoti Hai

Sukh Prabh Simran Ka Ant Na Paar

Prabhu Smaran Ke Sukho Ka Hisaab Nahi Hai

Simrahi Se Jan Jin Kau Prabh Maeaa

Smaran Vah Karte Hai, Jinko Prabhu Daya Karta Hai

Nanak Tin Jan Sarni Paeaa----7

Hey Nanak! Mein Un Bhakto Ki Sharan Pada Hoo


Hari Simran Kari Bhagat Pragtaye

Hari Smaran Se Hi Bhakt Prakat Hote Hai

Hari Simran Lagi Bed Upaye

Hari Smaran Mein Lagney Se Ved Paida Huey

Hari Simran Bhaye Sidh Jati Daatey

Hari Smaran Se Sidh, Jati Aur Daatey Huey

Hari Simran Neech Chahu Kunt Jaatey

Hari Smaran Se Neech Saare Sansar Mein Jaane Gaye

Hari Simran Dhari Sabh Dharna

Hari Smaran Se Hi Sari Dharti Ki Rachna Hui

Simri Simri Hari Kaaran Karna

Smaran Karke Hari Sab Kaaran Banata Hai

Hari Simran Kiyo Sagal Akara

Hari Smaran Se Sab Rachna Rachi Gaee

Hari Simran Mahi Aap Nirankara

Hari Smaran Mein Swayam Nirankar Hai

Kari Kirpa Jis Aap Bhujaiaa

Daya Karke Jisey Apni Soojh Karva Di Hai

Nanak Gurmukhi Hari Simran Tini Paiaa----8----(1)

Hey Nanak! Uno Ne Hari Ka Smaran Paya Hai


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 2 OF SUKHMANI SAHIB