Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 20

Slok


Firat Firat Prabh Aaiaa Pariaatau Sarnai

Hey Prabhu! Mein Bhatakta Hua Tumhari Sharan Aa Pada Hoon

Nanak Ki Prabh Benti Apni Bhagtilaai----1

Hey Prabhu! Nanak Ki Vinay Hai Ki Apni Bhakti Mein Lag



Asatpadi


Jachak Janu Jaachey Prabh Danu

Hey Prabhu! Yeh Bhikhari Daan Maangta Hai

Kari Kirpa Devhu Hari Naamu

Daya Karkey Hari Ka Naam Do

Saadh Jana Ki Maagau Dhoori

Mein Santo Ki Charan Dhooli Maangta Hoon

Paarbraham Meri Sardha Poori

Hey Prabhu! Meri Aasha Poorna Karo

Sada Sada Prabh Ke Gun Gaavau

Mein Sada Hi Prabhu Ke Gun Gaata Rahoon

Saasi Saasi Prabh Tumhi Dhiaavau

Hey Prabhu! Shwas Shwas Tumhara Naam Japu

Charan Kamal Siu Laagey Priti

Tumharey Charan Kamlo Se Priti Lagey

Bhagti Karau Prabh Ki Nit Neeti

Sada Hi Prabhu Ki Bhagti Karta Rahoon

Ek Ot Eko Aadhaaru

Ek Ka Hi Sahara Aur Aashraya Hai

Nanaku Maagey Naamu Prabh Saaru----1

Nanak Tera Naam, Jo Tatva Hai, Maangta Hai


Prabh Ki Dristi Maha Sukhu Hoi

Prabhu Ki Nazar Se Maha Sukh Hota Hai

Hari Rasu Paavey Birla Koi

Koi Koi Hi Hari Ka Ras Paata Hai

Jin Chakhia Se Jan Triptaaney

Jinhoney Swad Dekha Vey Tript Ho Gaye Hai

Pooran Purakh Nahi Dolaney

Vah Poorna Purush Doltey Nahin

Subhar Bharey Prem Ras Rangi

Vah Prem Ke Ras Aur Rang Mein Bharpoor Hotey Hai

Upjey Chaau Saadh Kay Sangi

Santo Ki Sangati Se Unko Chaav Chadta Hai

Parey Sarni Aan Sabh Tiaagi

Vah Dosh Sab Tyaag Kar Sharan Aa Padey Hai

Antari Pragaas Andinu Liv Laagi

Unke Bheetar Prakash Hai, Raat Din Lagna Lagaye Rehte Hai

Badbhaagi Japia Prabhu Soi

Badey Bhaagyon Walo Ne, Prabhu Ko Japa Hai

Nanak Naami Ratey Sukhu Hoi----2

Hey Nanak! Naam Mein Lagney Se Sukh Hota Hai


Sevaku Ki Mansa Poori Bhai

Sevak Ki Mansha Poorna Ho Gai

Satigur Te Nirmal Mati Lai

Satyaguru Se Pavitra Mat Li

Jan Kau Prabhu Hoio Daiaalu

Prabhu Apne Bhakto Par Dayaal Hota Hai

Sevaku Kino Sada Nihaalu

Sevak Ko Sada Ke Liye Nihaal Kar Diya

Bandhan Kaati Mukti Janu Bhaiaa

Bandhan Kaat Kar Bhakt Ho Gaya

Janam Maran Dookhu Bhramu Gaiaa

Uska Janam, Maran, Dukh Aur Bhram Door Ho Gaya

Ichh Puni Sardha Sabh Poori

Ichchha Poorna Hui Aur Shradha Poorna Ho Gai

Ravi Rahia Sad Sangi Hajoori

Prabhu Sada Saath Saath Mil Raha Hai

Jis Ka Sa Tini Liaa Milaai

Jis Ka Tha Usne Saath Mila Liya Hai

Nanak Bhagti Naami Samaai----3

Hey Nanak! Vah Bhakti Aur Naam Mein Magna Hai


So Kiu Bisrey Ji Gaal Na Bhaaney

Usey Kyon Bisaarta Hai, Jo Mehnat Nahi Ganvata

So Kiu Bisrey Ji Kiaa Jaaney

Usey Kyon Bisaarta Hai, Jo Kiya Jaanta Hai

So Kiu Bisrey Jini Sabhu Kichhu Diaa

Usey Kyon Bisaarta Hai, Jisney Sabh Kuch Diya Hai

So Kiu Bisrey Ji Jeevan Jiaa

Usey Kyon Bisaarta Hai, Jo Jeevon Ka Jeevan Hai

So Kiu Bisrey Ji Agni Mahi Raakhey

Usey Kyon Bisaarta Hai, Jo Garb Mein Raksha Karta Hai

Gur Prasadi Ko Birla Laakhey

Guru Ki Kripa Se Koi Hi Samajhta Hai

So Kiu Bisrey Ji Bikhu Te Kaadey

Usey Kyon Bisaarta Hai, Jo Vishayon Mein Se Nikaalta Hai

Janam Janam Ka Toota Gaadey

Janamo Ki Tooti Dobara Gaanth Deta Hai

Guri Poorey Tatu Ihey Bujhiaa

Poorey Guru Ne Yeh Tatva Samjha Diya Hai

Prabhu Apna Nanak Jan Dhiaaiaa----4

Hey Nanak! Apne Prabhu Ka Bhakto Ne Smaran Kiya Hai


Saajan Sant Karahu Ihu Kaamu

Hey Sajjan Sant Jano! Yeh Kaam Karo

Aan Tiaagi Japahu Hari Naamu

Aur Sab Chhod Kar Hari Ka Naam Japo

Simri Simri Simri Sukh Paavahu

Teen Kaalo Mein Smaran Karkey Sukh Praapt Karo

Aapi Japahu Avrah Naamu Japavahu

Swayam Japo Aur Auro Ko Naam Japao

Bhagti Bhai Tariey Sansaru

Prem Aur Bhakti Karney Se Vishwa Se Beda Paar Hota Hai

Binu Bhagti Tanu Hosi Chhaaru

Bhakti Ke Bina Sharir Raakh Ho Jaayega

Sarab Kaliaan Sookh Nidhi Naamu

Sab Muktiyon Aur Sukho Ka Khazana Naam Hai

Boodat Jaat Paaey Bisraamu

Doobta Hua Thikaana Praapt Kar Leta Hai

Sagal Dookh Ka Hovat Naasu

Sab Dukhon Ka Naash Ho Jaata Hai

Nanak Naamu Japahu Guntaasu----5

Hey Nanak! Guno Ke Khazaney Ka Naam Smaran Karo


Upji Priti Prem Rasu Chaau

Priti Paida Hui, Prem Ke Anand Ka Chaav Chada

Man Tan Antari Ihi Suaau

Tan Aur Man Mein Yehi Swad Aaney Laga

Netrahu Pekhi Darsu Sukhu Hoi

Aankhon Se Darshan Karkey Sukh Hota Hai

Manu Bigsey Saadh Charan Dhoi

Man Santo Ke Charan Dhokar Prasan Hota Hai

Bhagat Jana Kay Mani Tani Rangu

Bhakt Ke Man Aur Sharir Mein Anand Hota Hai

Birla Kou Paavey Sangu

Koi Koi Hi Santo Ka Sang Paata Hai

Ek Bastu Deejay Kari Maiaa

Hey Prabhu! Daya Karkey Ek Vastu Do

Gur Prasadi Naamu Japi Laiaa

Guru Ki Kripa Se Naam Japa Hai

Ta Ki Upma Kahi Na Jaai

Uska Yash Kaha Nahi Jaata

Nanak Rahia Sarab Samai----6

Hey Nanak! Vah Sab Mein Sama Raha Hai


Prabh Bakhsand Deen Daiaal

Prabhu Shamasheel Aur Deendayal Hai

Bhagti Vachhal Sada Kirpaal

Bhakto Ka Priya Aur Sada Kripaalu Hai

Anaath Naath Gobind Gupaal

Anaatho Ka Maalik, Dharti Ki Paalna Karta Hai

Sarab Gata Karat Pratipaal

Sab Shariro Ki Paalna Karta Hai

Aadi Purakh Kaaran Kartaar

Sab Se Pehla, Karney Aur Bananey Wala Hai

Bhagat Jana Ke Praan Adhaar

Bhakto Ke Praano Ka Aashray Hai

Jo Jo Japey Su Hoi Puneet

Jo Uska Smaran Karta Hai, Pavitra Hota Hai

Bhagati Bhai Laavey Man Heet

Prem Bhakti Mein Man Prem Se Lagata Hai

Hum Nirguniaar Neech Ajaan

Hum Gun Biheen Neech Aur Anjaan Hai

Nanak Tumri Sarni Purakh Bhagwan----7

Nanak Tumhari Sharan Hai, Hey Akaal Purakh Ji


Sarab Baikunth Mukti Mokh Paaey

Saarey Swarg Aur Mukti Ka Anand Pa Leta Hai

Ek Nimakh Hari Ke Gun Gaaey

Jo Ek Shan Hari Ke Gun Gaata Hai

Anik Raaj Bhog Badiaai

Aneko Raajya Padarath Aur Mahma Paata Hai

Hari Ke Naam Ki Katha Mani Bhai

Jiskey Man Ko Hari Ki Katha Achchhi Lagti Hai

Bahu Bhojan Kaapar Sangeet

Usey Aneko Khaaney, Vastra Aur Raag Rang Praapt Hai

Rasna Japti Hari Hari Neet

Jiski Jabaan Sada Hari Ka Naam Japti Hai

Bhali Sukarni Sobha Dhanwant

Vah Achchey Karmo Aur Shobha Wale Dhanwan Hai

Hirday Basey Pooran Gur Mant

Jis Ke Man Mein Poorey Guru Ka Mantra Basta Hai

Saadh Sangi Prabh Dehu Niwas

Hey Prabhu! Santo Ki Sangati Mein Thikaana Do

Sarab Sookh Nanak Pargaas----8----(20)

Hey Nanak! Sab Sukho Ka Prakash Ho Jaata Hai


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 21 OF SUKHMANI SAHIB