Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 23

Slok


Gyaan Anjan Guri Diya

Guru Ke Gyaan Ka Anjan Diya

Agyaan Andher Binaas

Agyaanta Ka Andhera Naash Ho Gaya

Hari Kirpa Tey Sant Bhetia

Hari Ki Kripa Se Santo Ka Milaap Hua

Nanak Man Pargaas----1

Hey Nanak! Man Mein Prakash Ho Gaya



Asatpadi


Sant Sangi Antari Prabhu Deetha

Santo Ke Saath Prabhu Ko Bheetar Dekh Liya

Naam Prabhu Ka Laaga Meetha

Prabhu Ka Naam Meetha Lagney Laga

Sagal Samagri Eksu Gat Maahi

Saari Samagri Uske Ek Swaroop Mein Hai

Anik Rang Nana Dristaahi

Kai Prakaar Ke Kai Rang Dikhai Detey Hai

Nau Nidhi Amritu Prabh Ka Naam

Prabhu Ka Naam Amrit Aur Nau Nidhi Jaisa Hai

Dehi Mahi Is Ka Bisraam

Yeh Sharir Mein Hi Rehta Hai

Sun Samadhi Anhat Tah Naad

Sunn Samadhi Mein Ek Ras Shabd Hai

Kahanu Na Jaai Achraj Bismaad

Uske Hairaan Karney Wale Kautuk Kahey Nahi Jaatey

Tini Dekhia Jisu Aapi Dikhaey

Unho Ne Dekha Hai Jinhey Swayam Dikhaata Hai

Nanak Tisu Jan Sojhi Paaey----1

Hey Nanak! Us Sevak Ko Samajh Dilaata Hai


So Antari So Baahari Anant

Vah Beant Hi Bheetar Aur Baahar Hai

Gati Gati Byaapi Rahia Bhagwant

Vah Bhagwan Pratyek Sharir Mein Vyapak Hai

Dharni Maahi Akaas Paiaal

Vahi Dharti, Aakaash Aur Paataal Mein Hai

Sarab Lok Pooran Pratipaal

Sab Logo Ko Paalney Wala Paripoorna Hai

Bini Tini Parbati Hai Paarbrahamu

Jangalo, Tilo, Pahaado Mein Vah Prabhu Hai

Jaisi Aagya Taisa Karamu

Jaisi Aagya Hai, Vaisa Hi Karm Hota Hai

Paun Paani Baisantar Maahi

Vah Vaayu, Jal Aur Agni Mein Hai

Chaari Kunt Dah Disey Samahi

Chaaro Dishaaon Mein Dasho Aur Samaya Hai

Tis Tey Bhin Nahi Ko Thaad

Us Se Alag Koi Sthaan Nahi

Gur Prasaadi Nanak Sukh Paau----2

Hey Nanak! Guru Ki Kripa Se Sukh Paatey Hai


Bed Puraan Simriti Mahi Dekhu

Vedo, Puraano, Smritiyo Mein Dekh

Sasiar Soor Nakhyatra Mahi Eku

Chaand, Surya Aur Nakshatro Mein Ek Hi Hai

Baani Prabh Ki Sabhu Ko Boley

Prabhu Ki Baani Pratyek Boltey Hai

Aapi Adolu Na Kabahu Doley

Vah Na Dolney Wala Kabhi Nahi Dolta

Sarab Kala Kari Kheley Khel

Sab Shaktiya Chalakar Khel Khel Raha Hai

Moli Na Paaiay Gunah Amol

Mulya Nahi Paaya Jaata, Gun Amulya Hai

Sarab Joti Mahi Ja Ki Joti

Sabki Jyoti Mein Jiski Jyoti Hai

Dhaari Rahio Suaami Oti Poti

Vah Maalik Taaney Baaney Ki Bhaanti Varat Raha Hai

Gur Prasaadi Bharam Ka Naas

Guru Ki Kripa Se Bhram Ka Naash Hua

Nanak Tin Mahi Ehu Bisaas----3

Hey Nanak! Unka Yeh Bharosa Hai


Sant Jana Ka Pekhan Sabh Braham

Sant Sab Aur Brahma Hi Dekhtey Hai

Sant Jana Kay Hirday Sabhi Dharam

Santo Ke Hriday mein Sabhi Dharam Hai

Sant Jana Sunhi Subh Bachan

Sant Jan Achchey Bachan Suntey Hai

Sarab Biaapi Ram Sangi Rachan

Vah Sarva Vyapak Ram Se Miley Hotey Hai

Jini Jaata Tis Ki Iha Rahat

Jisney Jaana Hai, Uski Yeh Rahit Hai

Sati Bachan Saadhu Sabhi Kahat

Sant Saarey Bachan Satya Kehtey Hai

Jo Jo Hoi Soi Sukhu Maaney

Jo Bhi Hota Hai, Us Mein Sukh Hota Hai

Karan Karavanhaar Prabhu Jaaney

Karna Karana Prabhu Hi Jaantey Hai

Antari Basey Baahari Bhi Ohi

Vahi Bheetar Aur Baahar Basta Hai

Nanak Darsanu Dekhi Sabh Mohi----4

Hey Nanak! Darshan Dekh Kar Sabh Duniya Mohi Jaati Hai


Aapi Sati Kia Sabhi Sati

Swayam Sacha Hai Aur Sab Satya Hi Kiya Hai

Tisu Prabh Tey Sagli Utpati

Us Prabhu Se Saari Utpati Hui Hai

Tisu Bhaavey Ta Karey Bisthaaru

Yadi Chahey To Pasaara Pasaar Deta Hai

Tisu Bhaavey Ta Ekankaaru

Yadi Vah Chahey To Ek Roop Ho Jaata Hai

Anik Kala Lakhi Nah Jaai

Uski Anek Lila Jaani Nahi Jaati

Jisu Bhaavey Tisu Laey Milaai

Jisey Chahta Hai Saath Mila Leta Hai

Kavan Nikati Kavan Kahiay Doori

Kisey Uske Paas Aur Kisey Door Kaha Jaaey

Aapey Aapi Aap Bharpoori

Vah Swayam Hi Pratyek Jagah Bharpoor Hai

Antargati Jisu Aapi Janaey

Jis Hriday Mein Swayam Zaahir Hota Hai

Nanak Tisu Jan Aapi Bujhaey----5

Hey Nanak! Usey Swayam Bata Deta Hai


Sarab Bhoot Aapi Vartaara

Sab Padartho Mein Swayam Vyapak Hai

Sarab Nain Aapi Pekhanhaara

Sab Aankho Se Swayam Dekhney Wala Hai

Sagal Samagri Ja Ka Tana

Saari Rachna Jiska Sharir Hai

Aapan Jasu Aap Hi Suna

Vah Apna Yash Aap Hi Sunta Hai

Aavan Jaanu Eku Khelu Banaaia

Usney Janam, Mrityu Ki Ek Khel Banai Hai

Aagyakari Keeni Maaia

Maya Apne Hukam Mein KI Hai

Sabh Kay Madhi Alipato Rahey

Sab Mein Hota Hua Bhi Alag Rehta Hai

Jo Kichchu Kahan Su Aapey Kahay

Jo Kehna Hota Hai Vah Swayam Hi Kehta Hai

Aagia Aavey Aagia Jaai

Jeev Hukam Se Aata Aur Jaata Hai

Nanak Ja Bhaavey Ta Laey Samaai----6

Hey Nanak! Yadi Chaahey To Vah Mila Leta Hai


Is Tey Hoi Su Naahi Bura

Us Se Jo Ho, Vah Bura Nahi

Oro Kahahu Kiney Kichchu Kara

Aur Batao Kisi Ne Kuch Kiya Hai

Aapi Bhala Kurtooti Ati Niki

Swayam Achcha Hai Aur Uski Karni Badi Achchi Hai

Aapey Jaaney Apne Ji Ki

Apne Dil Ki Swayam Jaanta Hai

Aapi Saachu Dhaari Sabh Saachu

Swayam Satya Hai Aur Saari Rachna Satya Ki Hai

Oti Poti Aapan Sangi Raachu

Taano Baaney Ki Bhaanti Apne Saath Mila Hai

Ta Ki Gati Miti Kahi Na Jaai

Uski Dasha Minti Kahi Nahi Jaati

Doosar Hoi Ta Sojhi Paai

Yadi Doosra Vaisa Ho To Soojh Ho

Tis Ka Kia Sabhu Parvaanu

Uska Kiya Sab Parvaan Hota Hai

Gur Prasaadi Nanak Ihu Jaanu----7

Hey Nanak! Guru Ki Kripa Se Yeh Jaan


Jo Jaaney Tisu Sada Sukhu Hoi

Jo Jaanta Hai Usey Sada Sukh Hota Hai

Aapi Milaai Laey Prabhu Soi

Vah Ishwar Apne Saath Mila Leta Hai

Ohu Dhanvantu Kulvantu Pativantu

Vah Dhanyavaan, Kul Aur Izzat Wala Hai

Jeevan Mukti Jisu Ridey Bhagwantu

Jeevan Mukt Hai, Jiskey Man Mein Bhagwan Hai

Dhan Dhan Dhan Janu Aaiaa

Uska Aana Teen Kaalo Mein Dhanya Hai

Jisu Prasaadi Sabhu Jagatu Taraiaa

Uski Kripa Se Saara Sansaar Tar Jaata Hai

Jan Aavan Ka Ihey Suaau

Bhakto Ke Aaney Ka Yehi Swaad Hai

Un Kay Sangi Chiti Aavey Naau

Bhakto Ke Saath Naam Man Mein Basta Hai

Aapi Muktu Muktu Karey Sansaaru

Vah Swayam Mukt Hai Aur Sansaar Ko Mukt Karta Hai

Nanak Tisu Jan Kau Sada Namaskaaru----8----(23)

Hey Nanak! Us Bhakt Ko Sada Namaskaar Hai


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 24 OF SUKHMANI SAHIB