Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 4

Slok


Nirguniaar Iyaniya

Hey Gunheen Anjaan Insaan!

So Prabhu Sada Samali

Sada Us Prabhu Ko Yaad Rakh

Jini Kiya Tisu Chiti Rakhu

Jisney Rachna Ki Hai, Usey Man Mein Rakh

Nanak Nibhi Naali----1

Hey Nanak! Vah Saath Jaata Hai



Asatpadi


Ramaya Ke Gun Cheti Paraani

Hey Praani! Ram Ke Gun Yaad Kar

Kavan Mool Te Kavan Dristaani

Kis Mool Se Tujhe Kiya Bana Diya Hai

Jini Tu Saaji Savari Sigariya

Jisney Tujhe Banakar Savara Shingara Hai

Garabh Agni Mahi Jinhi Ubaariya

Garb Ki Agni Mein Se Jisney Nikaal Liya Hai

Baar Bivastha Tujhi Piyarey Doodh

Bachpan Mein Jo Tujhe Doodh Pilata Hai

Bhari Joban Bhojan Sukh Soodh

Bharpoor Javani Mein Bhojan Aur Sukho Ki Sudh Di

Birdhi Bhaiya Upri Saak Sen

Budey Honey Par Rishtedaar Diye

Mukhi Apiaau Baith Kau Den

Jo Baithey Ko Mukh Mein Bhojan Dete Hai

Ihu Nirgun Gun Kachu Na Bujhey

Yeh Gunheen Jeev Koi Gun Nahi Jaanta

Bakhsi Lehu Tau Nanak Sijhey----1

Yadi Shama Kar Do To Nanak Tar Jaata Hai


Jih Prasaadi Dhar Upri Sukh Basahi

Jiski Kripa Se Tu Dharti Par Sukh Se Basta Hai

Sut Bhraat Mit Banita Sangi Hasahi

Putra, Bhai, Mitra Aur Stri Se Hasta Hai

Jih Prasaadi Pivahi Sital Jala

Jiski Daya Se Thanda Jal Peeta Hai

Sukhdai Pavan Pavak Amula

Sukh Dene Wali Vayu Aur Amolak Agni Leta Hai

Jih Prasaadi Bhogahi Sabhi Rasa

Jiski Kripa Se Sabhi Ras Bhogta Hai

Sagal Samagri Sangi Saathi Basa

Sari Samagri Sahit Sukh Se Basa Hua Hai

Deeney Hasat Paav Karan Netra Rasna

Jisne Haath, Paav, Kaan, Aankhen Aur Jabaan Diye

Tisahi Tyaagi Avar Sangi Rachna

Usey Chhodkar Aur Se Kaam Karta Hai

Aisey Dokh Mood Andh Byaapey

Aisey Dukh Murkh Andhey Ko Aatey Hai

Nanak Kaadi Lehu Prabh Aapey----2

Prabhu Ji! Nanak Ko Swayam Hi Nikaal Lo


Aadi Ant Jo Raakhnahaaru

Aadi Se Ant Tak Jo Rakhne Wala Hai

Tis Siu Priti Na Karey Gavaru

Yeh Murkh Us Se Preet Nahi Karta

Ja Ki Seva Navnidhi Paavey

Jiski Seva Se Nau Nidhiya Prapt Karta Hai

Ta Siu Mooda Man Nahi Laavey

Murkh Us Se Dil Nahi Lagata

Jo Thakur Sad Sada Hajurey

Jo Thakur Sada Haazar Naazar Hai

Ta Kau Andha Jaanat Doorey

Andha Usey Door Samajhta Hai

Ja Ki Tahal Paavey Dargah Maan

Jiski Seva Se Dargah Mein Maan Prapt Karta Hai

Tisahi Bisaarey Mugdhu Ajaan

Murkh Anjaan, Uesy Bhulata Hai

Sada Sada Ihu Bhulanhaaru

Yeh Sada Hi Bhool Karne Wala Hai

Nanak Raakhanaaru Apaaru----3

Hey Nanak! Rachney Wala Bey Ant Hai

Ratan Tyaagi Kaudi Sangi Rachey

Naam Ratn Chhod Kar Kodi Se Rachta Hai

Saach Chhodi Jhoot Sangi Machey

Sach Chhodkar Jhoot Mein Machalta Hai

Jo Chadna Su Asthir Kari Maaney

Jisey Chhod Jaana Hai, Usey Attal Maanta Hai

Jo Hovan So Door Paraney

Jo Hona Hai, Usey Door Jaanta Hai

Chhodi Jae Tiska Shrimu Karey

Jo Chhod Jaani Hai, Usey Ikatthi Karta Hai

Sangi Sahai Tis Parharey

Jo Naam Sahayak Hoga, Uska Tyaag Karta Hai

Chandan Lep Utaarey Dhoi

Chandan Ka Lep Dhokar Utaarta Hai

Gardhab Priti Bhasam Sangi Hoi

Gadhey Ki Preet Raakh Se Hoti Hai

Andh Koop Mahi Patit Bikraal

Andhey Kuey Mein Yeh Papi Daravana Hai

Nanak Kaadi Lehu Prabh Daeaal----4

Hey Dayalu Prabhu! Nanak Ko Us Se Nikaal Lo


Kartoot Pasu Ki Maanas Jaati

Vaisey Manushya Hai, Parantu Kaam Pashu Ke Hai

Lok Pachara Karey Din Raat

Raat Din Log Dikhava Karta Rehta Hai

Baahri Bhekh Antari Malu Maaiaa

Bahar Sant Ka Vesh Kiya Hai, Bhitar Maya Ki Mel Hai

Chhapsi Naahi Kachu Karey Chhapaiaa

Jitna Chhahey Chhupa Le, Yeh Chhupti Nahi Hai

Baahari Gyan Dhyan Isnaan

Bahar To Gyani, Dhyani Aur Snani Hai

Antari Byapey Lobh Suaan

Bhitar Lalach Ka Kuta Laga Hai

Antari Agni Baahari Tan Suaah

Bhitar Vaasna Agni Hai, Peeth Par Vibhut Mali Hai

Gali Paathar Kaisey Tarey Athah

Galey Se Pathar Baandhkar Athah Samundra Kaisey Paar Karey

Jaakey Antari Basey Prabhu Aapi

Jis Ke Hriday Mein Prabhu Swayam Basta Hai

Nanak Te Jan Sahaji Samati----5

Hey Nanak! Vah Hari Mein Sahaj Hi Sama Jaata Hai


Suni Andha Kaisey Maarg Paavey

Sun Kar Andha Raasta Kaisey Doond Sakta Hai

Karu Gahi Lehu Ori Nibhavey

Yadi Haath Pakad Lo To Manzil Pe Pahunch Sakta Hai

Kaha Bujhaarti Bujhey Dora

Behra Bujharat Se Kaisey Samajh Sakta Hai?

Nisi Kahiye Tau Samjhey Bhora

Yadi Raatri Kahey To Din Samajhta Hai

Kaha Bisanpad Gaavey Gung

Gunga Kaisey Vishnapad Gaa Sakta Hai

Jatan Karey Tau Bhi Sur Bhang

Yadi Yatn Karey To Bhi Sur Naash Hoti Hai

Kah Pingul Parbat Parbhavan

Pingla Parvat Par Kaisey Jaa Sakta Hai?

Nahi Hot Uha Asu Gavan

Vahan Uski Pahunch Nahi Hoti

Kartaar Karuaamey Deen Benti Karey

Hey Kripalu, Kartaar! Deen Vinay Karta Hai

Nanak Tumri Kripa Tarey----6

Nanak Tumhari Kripa Se Tar Sakta Hai


Sangi Sahai Su Aavey Na Chiti

Jo Saathi Aur Sahayak Hai, Vah Man Mein Nahi Aata

Jo Bairai Ta Siu Priti

Jo Dushman Hai, Us Se Pyar Hai

Balua Ke Griha Bhitri Basey

Yeh Ret Ke Ghar Mein Basta Hai

Anad Kel Maaia Rangi Rasey

Maya Ke Rang Anand, Rangraliyo Ke Ras Leta Hai

Dridun Kari Maaney Manhi Pratiti

Unki Preet Man Mein Drir Karkey Maanta Hai

Kaal Na Aavey Murey Chiti

Murkh Ko Mrityu Yaad Nahi Aati

Bair Birodh Kaam Krodh Moh

Dushmani, Viradh, Kaam, Krodh Aur Moh

Jhooth Bikaar Maha Lobh Drah

Jhoot Vikaar Bade Lalach Aur Droh

Iaahu Jugti Bihaaney Kai Janam

In Yuktiyo Mein Kai Janam Vyateet Ho Gaye

Nanakraakhi Lehu Aapan Kari Karam----7

Hey Nanak! Raksha Karo, Apni Bakhsheesh Karkey


Tu Thakur Tum Pahi Ardaas

Tu Malik Hai, Tumharey Paas Vinay Hai

Jiu Pindu Sabh Teri Raas

Hriday, Sharir Sab Tumhari Poonji Hai

Tum Maat Pita Hum Baarik Tere

Tum Mata Pita Ho, Hum Tumharey Bachchey Hai

Tumri Kripa Mahi Sookh Ganere

Tumhari Kripa Mein Bade Hi Sukh Hai

Koi Na Jaaney Tumra Ant

Tumhara Ant Koi Nahi Jaanta

Oonchey Te Ooncha Bhagwant

Bhagwan Ooncho Se Ooncha Hai

Sagal Samagri Tumrey Sutra Dhaari

Sab Kuch Tumharey Hi Prabandh Mein Hai

Tum Te Hoi Su Agyakaari

Tumse Jo Hota Hai, Aagya Mein Hota Hai

Tumri Gat Mit Tumhi Jaani

Tumhari Leela Aur Maryada Tumne Hi Jaani Hai

Nanak Daas Sada Kurbani----8----(4)

Nanak Daas Sada Hi Kurbaan Jaata Hai


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 5 OF SUKHMANI SAHIB