Pehle Sai Ke Charno Mein, Apna sheesh nivauo Mai,
Kaise Shirdi Sai Aaye, Saara haal Sunao mai.
Kaun hai maata pitaa kaun hai, yeh na kisi ne bhi jaana.
Kaha janam Sai ne dhara, prashan paheli raha bana ||1||
Koee kehe Ayodhya ke, yeh Ramchadra bagvaan hai
Koee kehta Saibaba pavan putra hanumaan hai
Koee kehta mangal murti sri gajaanan hain sai
Koee kehta Gokul-Mohan Devki Nandan hai sai. ||2||
Shankaer samajh bhakt kaee to , BABA to bhajthe rahte,
Koee kahta avtar datta ke, pooja sai ki karte
Kuch bhi mano unko tum pur sai hain sachche Bhagvaan,
Bade dayalu deen bhandhu kitno ko diya jivan daan ||3||
Kaee varsh pehle ki ghatna tumhe sunaunga mein baat,
Keesy bhagyashaali ki shirdi mein aaee thi bharath
Aaya saath usi ke tha, baalak ek bahut sunder,
Aaya aaker vahin bus Gaya, paavan Shirdi kiya nagar ||4||
Kaee dino tak raha bhatakta, bhiksha maangi usne dar dar
Aur dikhaee aisee leela, jug mein jo ho gaee amar
Jaise Jaise umar badi, badthi he vaisey gaee shaan,
Ghar ghar hone laga nagar mein Sai baba ka gun gaan ||5||
Dhigdigaanth mein laga goonjane, phir to Saiji ka naam,
Deen-dhukhi ki raksha karna, yahi raha baba ka kaam
Baba ke charno mein ja kar, jo kehta mein hoon nirdhan
Daya usee par hoti unkee, khul jaate dhukh ke bandhan ||6||
Kabhi Kisee ne maangi bhiksha, do baba mujhko suntaan
Aivom astoo tub kaihkar sai de te thay usko vardaan
Swayam dhukhi baba ho jaate, deen-dhukhi jan ka lukh haal
Anteh: karan bhi sai kaa, sagar jaisa raha vishaal ||7||
Bhakt ek madrasi aaya, ghar ka bahut bada dhavaan
Maal khajana behadh uskaa, keval nahi rahi suntaan
Laga manane Sainath ko, baba mujh per daya karo
Junjhe se jhankrit nayya ko, tum hee mairee paar karro ||8||
Kuldeepak ke bina andhera, chchaya hua ghar mein mere
Isee liye ayaa hoon baba, hokar sharnaagat tere
Kuldeepak ke abhav mein, vyarth hai daulat ki maya,
Aaj bhikhari ban kar baba, sharan tumhari mein aaya ||9||
De de mujko putra-daan, mein rini rahoonga jivan bhar,
Aur kisi ki aas na mujko, siraf bharosa hai tum per
Anunaye vinaye bahut ki usne, Charano mein dhar ke sheesh
Tub prasana hokar baba ne, diya bhakta ko yeh aashish ||10||
Alla bhala karega tera, putra janam ho tere ghar,
Kripa rahegi tum per uski, aur tere uss balak per
Ab tak nahi kisi ne paya, sai ki kripa ka paar,
Putra ratan de madrasi ko dhanya kiya uska sansaar ||11||
Tan-man se jo bhaje usi ka jug mein hota hai uddhar
Sanch ko aanch nahi hai koee, sada jhoot ki hoti haar
Mein hoon sada sahare uske sada rahoonga uska daas
Sai jaisa prabhu mila hai itni ki kum hai ka aas ||12||
Mera bhi din tha ek aisa, milti nahi mujhe thi roti,
Tan per kapda duur raha tha, sheish rahi nanhi si langoti
Sarita sammukh hone per bhi mein pyasa ka pyasa tha
Durdi meera mere ooper, davagani barsata tha ||13||
Dharti ke atirikt jagat mein, mera kuch avalumbh na tha,
Bana bhikhari maiy duniya mein, dar dar thokar khata tha,
Aise mein ek mitra mila jo, param bhakt Sai ka tha,
Janjalon se mukt magar iss jagti mein veh bhi mujh sa tha ||14||
Baba ke darshan ke khatir, mil dono ne kiya vichaar,
Sai jaise daya murti ke darshan ko ho gaiye taiyar,
Paavan Shirdi nagari mein ja kar, dhekhi matvaali murti
Dhayna janam ho gaya ki humne jab dhekhi Sai ki surti ||15||
Jabse kiye hai darshan humne, dukh sara kaphur ho gaya,
Sankat saare mite aur vipdaon ka anth ho gaya,
Maan aur sammaan mila, bhiksha mein humko baba se,
Prati bimbit ho uthe jagat mein, hum Sai ki abha se ||16||
Baba ne sammaan diya hai, maan diya is jivan mein,
Iska hee sambal le mein, hasta jaunga jivan mein,
Sai ki leela ka mere, mum par aisa assar hua,
Lagta jagti ke kan kan mein, jaise ho veh bhara hua ||17||
'Kashiram' baba ke bhakt, iss Shirdi mein rehta tha,
Maiy sai ka Sai mera, veh duniya se kehta tha,
Seekar svayam vastra bhectha, gram nagar bazaro mein,
Jhankrit uski hridh-tantri thi, Sai ki jhankaron se ||18||
Stabh nisha thi, they soye, rajni aanchal me chand sitare,
Nahi soojta raha hath ka, hath timiri ke mare,
Vastra bech kar lote raha tha, Hai! Haath se 'Kaashi'
Vichitr bada sanyoga ki uss din aata tha veh ekaki ||19||
Gher raah mein khare ho gaye, usse kutil, anyaayi
Maaro kaato looto iski hee dhvani pari sunaee,
Loot peet kar usse vahan se, kutil gaye chapat ho,
Aaghaton se marmahat ho, usne di thi sangya kho ||20||
Bahut der tak para raha veh, vahin usi halat mein,
Jaane kab kuch hosh ho utha, usko kisi palak mein,
Anjane hee uske muh se, nikal para tha Sai
Jiski prati dhwani Shirdi mein, BABA ko parri sunai ||21||
Shubdh utha ho manas unka, baba gaye vikal ho
Lagte jaise ghatna sari, ghati unhi ke summukh ho,
Unmadi se idhar udhar tab, baba lage bhatakne,
Sunmukh chizein jo bhi aiee, unkoo lage patkne ||22||
Aur Dhadhakte angaro mein, baba ne kar dala,
Huye sashankit sabhi vaha, lakh thandav nritya nirala
Samajh gaye sab log ki koi, bhakt para sankat mein,
Shubit khare thai sabhi vaha par, pare huye vismaiye mein ||23||
Usse bachane ke hi khatir, baba aaj vikal hai,
Uski piraa se pirit, unka anth sthal hai,
Itne me hi vidhi ne apni, vichitrata dhiklayi,
Lukh kar jisko janta ko, shradha sarita lehrayee ||24||
Lekar sangya heen bhakt ko, gaari ek vaha aayee,
Sunmukh apne dekh bhakt ko, Sai ki aankhe bhar aayee,
Shant dheer gambhir sindhu sa baba ka anthsthal,
Aaj na jane kyon reh-rehkar, ho jaata tha chanchal ||25||
Aaj daya ki murti svayum tha bana hua upchaari
Aur bhakt ke liye aaj tha, dev bana prati haari
Aaj bhakt ki vishum pariksha mein safal hua tha Kaashi,
Uske hee darshan ki khatir, thai umre nagar-nivasi, ||26||
Jab bhi aur jahan bhi koyee, bhakt pare sankat mein,
Uski raksha karne baba jate hai pulbhar mein,
Yug yug ka hai satya yeh, nahi koi nayee kahani,
Aapat grast bhakt jab hota, jaate khud antaryaami. ||27||
Bhed bhav se pare pujari manavta ke thai sai
Jitne pyare Hindu-Muslim utne hi Sikh Isai
Bhed bhaav mandir masjid ka tor phor baba ne dala,
Ram Rahim sabhi unke thai, Krishan Karim Allah Tala ||28||
Ghante ki pratidhvani se gunja, masjid ka kona kona,
Mile paraspar Hindu, Muslim, pyar bada din din doona,
Chamatkar tha kitna sunder, parichaye iss kaya ne dee,
Aur neem karvahat mein bhi mithaas baba ne bhar dee. ||29||
Sabko sneh diya sai ne, sabko suntul pyar kiya,
Jo kuch jisne bhi chaha, baba ne usko vahi diya.
Aise snehsheel bhajan ka, naam sada jo japa kare,
Parvat jaisa dhukh na kyoon ho, palbhar mein veh door tare ||30||
Sai jaisa daata humne aare nahi dekha koi,
Jiske keval darshan se hee, saari vipda door gayee,
Tan mein sai, man mein sai, Sai bhajha karo,
Apne tan ki sudh budh khokar, sudh uski tum kiya karo ||31||
Jab tu, apni sudh tajkar baba ki sudh kiya karega,
Aur raat din baba, baba, hi tu rata karega
To baba ko aare! Vivash ho, sudh teri leni hee hogi
Teri har iccha baba ko puree karni hogi ||32||
Jungal jungal bhatak na paagal, aur dhundne baba ko,
Ek jagah keval Shirdi mein tu paiga baba ko,
Dhanya jagat mein prani hai veh, jisne baba ko paya,
Dukh mein sukh mein prahar aath ho, Sai ke hee gune gaya ||33||
Gire sankat ke parvat, chahe bijli hi toot pare,
Sai ka le naam sada tum, sunmukh sub ke raho aare,
Iss budhe ki sunn karamat, tum ho jaoge hairaan,
Dang reh sunkar jisko, jane kitne chatur sujaan. ||34||
Ek baar Shirdi mein sadhu dhongi tha koi aaya,
Bholi bhali nagar nivasi janta ko tha barmaya
Jari butiyan unhe dhika kar karne laga vaha bhashan
Kehne laga sunno shrotagan, gar mera hai vrindavan ||35||
Aushadi mere paas ek hai, aur ajab iss mein shakti,
Iske sevan karne se hi, ho jaati dukh se mukthi
Aggar mukta hona chaho tum, sankat se bimari se,
To hai mera numra nivaidan, har nar se har nari se, ||36||
Lo kharid tum isko sevan vidhiyan hai nyari,
Yadyapi tuch vastu hai yeh, gun uske hai atisheh bhari
Jo hai suntaan heen yeh yadi, meri aushadhi ko khaye,
Putra ratan ho praapth, aare aur veh mooh manga phal paye ||37||
Aushadh meri jo na karide, jeevan bhar pachtayega,
Mujh jaisa prani shayad hi, aare yaha aa payega,
Duniya do din ka mela hai, mauj shaukh tum bhi kar lo
Gar iss se milta hai, sub kuch, tum bhi isko le lo ||38||
Hairani barti janta ki, lakh iski kaarastaani
Pramudit veh bhi man hi man tha, lakh logo ki nadani
Kabar suna ne baba ko gaya daud kar sevak ek,
Sun kar bhukuti tani, aur, vismaran ho gaya sabhi vivek ||39||
Hukum diya sevak ko, satvar pakar dusht ko lao,
Ya Shirdi ki seema, se kapti ko duur bhagao.
Mere rehte bholi bhali shirdi ki janta ko,
Kaun neech aisa jo, sahas karta hai chalne ko ||40||
Pulbhar mai hi aise dhongi, kapti neech lootere ko,
Maha naash ke maha grat mein, pahuncha doon jivan bhar ko
Tanik mila aabhaas madari, krur kutil anyayi, ko.
Kaal nachta hai ab sir par, gussa aaya Sai ko ||41||
Pal bhar mein sab khel bandh kar bhaga sir par rakh kar pairr
Socha tha sabh hi ab, bhagvan nahi hi ab khair,
Such hai sai jaisa daani, mil na sakega jag mein,
Ansh issh ka sai baba, unhe na kuch bhi mushkil jag mein ||42||
Sneh sheel sojanya aadi ka abhushan dharan kar,
Badta iss duniya mein jo bhi, manav sevaye path par
Vahi jeet leta hai jagti, ke jan jan ka anthsthal
Ushi ek udasi hi jog ko kar deti hai vrihal ||43||
Jab jab jag mein paap ka bhar bar bar ho jaata hai,
Usse mita ne ke hi khatir, avtari ho aata hai
Paap aur anyaya sabhi kuch iss jagti ka har ke
Duur bhaga deta duniya ke danav ko shan bhar mein ||44||
Sneh sudha ki dhar barasne, lagti hai duniya mein,
Gale paraspar milne lagte, jan jan hai aapas mein
Aise hee avtari Sai, mrityulok meinaakar,
Samta ka yeh paath paraya, sabko apna aap mitakar ||45||
Naam dwaraka masjid ka, rakha shirdi ne
Haap taap, suntaap mitaya, jo kuch aaya sai ne.
Sada yaad mein mast ram ki, baithe rehte thai sai.
Peher aath hee naam ram ka, bhajte, rehte thai sai ||46||
Sookhee rookhee tazi baasi, chahe ya hovai pakvaan,
Sada pyar ke bhooke sai ke, khatir thai sabhi samaan
Sneh aur shradha se apni jan jo kuch de jaate thay
Bade chaave se uss bhojan ko, baba paavan karte thay ||47||
Kabhi kabhi man behlane ko, baba baag mein jate thay.
Premudit man nirukh prakrati, chatta ko veh hote thay.
Rang birange pushp baag ke manam manam hil dul karke
Beehar birane man mein bhi snel salil bhar jate thai ||48||
Aise sumadhur bela mein bhi dukh aafat bipda kai maare
Apne man ki vyatha sunane jan rehte baba ko ghere
De vibhuti har vyatha, shanti unke uur mein bhar dete thay ||49||
Jaane kya adhbut shakti uss vibhuti mein hoti thi,
Jho dharan karke mastak par, dhuk saara har leti thi
Dhanya manuj veh sakshaat darshan jo baba sai ke paye
Dhanya kamal kar unke jinse, charan kamal veh parsai ||50||
Kaash nirbhay tumko bhi saakshat sai mil jaata,
Varsho se ujra chaman apna phir se aaj khil jaata
Gar pakar mein charan shir ke nahi chorta umar bhar
Mana leta mein jaroor unko gar rooth te sai mujh par ||51||
||Satchitananda Sadguru Sainaath Maharaj Ki Jay||