Back to Gazhal Home | ||
Akhter Shiraani
|
||
ai ishq ! kahiN ley chal ! | ||
unn chand sitaaroN key bikhrey huey shahroN meiN unn noor ki kirnoN ki Thahri hui lahroN meiN Thahri hui nahroN meiN, soiee hui lahroN meiN ai kHizr-e-haseeN ley chal! ai ishq kahiN ley chal! aankhoN meiN samaai hai ik kHwaab-numaa duniya taaroN ki tarah raushan mahtab numaa duniya jannat ki tarah rangeeN shadaab numaa duniya lillah wahiN ley chal! ai ishq kahiN ley chal! yeH dard bhari duniya basti hai gunaahoN ki dil chaak ummidoN ki, saffak nigahoN ki zulmoN ki, jafaaoN ki, aahoN ki, karaahoN ki haiN gHam sey haziN, ley chal! ai ishq kahiN ley chal! hum prem pujari haiN, tu prem kanhaiyya hai hum prem kanhaiyya haiN, yeH prem ki nayyaa hai yeH prem ki nayya hai, tu iss ka khiwayyaa hai kuchh fikr nahiN ley chal! ai ishq kahiN ley chal! |
||
[ gham se haziN= full of sorrow] | ||
Back to Gazhal Home | ||