Back to ghazal home | |
Faiz Ahmad 'Faiz' (1911-1984) |
|
Yah dhup kinara shaam dhalen
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
Yah dhup kinara shaam dhalen, Milte hain dono waqt jahan, Jo raat na din, jo aaj na kal, pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuaan Is dhup kinaare pal do pal. Hothon ki lapak Baahon ki khanak Yah mel hamaara jhooth na sach Kyon raar karen, kyon dosh dharen kis kaaran jhoothi baat karen Jab teri samandar aankhon mein shaam ka suraj dubega Sukh soyenge ghar dar waale Aur rahi apni rah lega. |
|
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke ViraaN hai maikada khum-o-saagar udaas hain Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke Duniya ne teri yaad se begaana kar diya Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke Bhule se muskra kya diye woh aaj Faiz Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke |
|
Back | |