Back to Ghazal Home | ||
Ahmed Faraz
|
||
phir usii raahaguzar par shaayad
~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
phir usii raahaguzar par shaayad ham kabhii mil sake.n magar shaayad jaan pahachaan se kyaa hogaa phir bhi ai dost Gaur kar shaayad mu.ntazir jinake ham rahe unko mil gaye aur hama-safar shaayad jo bhii bichha.De hai.n kab mile hai.n 'Faraz' phir bhii tuu i.ntazaar kar shaayad |
||
sholaa thaa jal-bujhaa huu.N, havaaye.n mujhe na do
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
sholaa thaa jal-bujhaa huu.N havaaye.n mujhe na do mai.n kab kaa jaa chukaa huu.N sadaaye.n mujhe na do jo zahar pii chukaa huu.N tumhii.n ne mujhe diyaa ab tum to zi.ndagii kii duaaye.n mujhe na do aisaa kahii.n na ho ke palaTakar na aa sakuu.N har baar duur jaa ke sadaaye.n mujhe na do kab mujhako aiteraaf-e-muhabbat na thaa "Faraaz" kab mai.n ne ye kahaa thaa sazaaye.n mujhe na do |
||
|
||
khaatin hai rah-guzar
~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
khaatin hai rah-guzr, thori dooR sath chalo bohut kada hai safr thori dooR sath chalo tamaam umr kahaan koi sath dai-ta hai yeh janta hooN magar thori dooR sath chalo Nashe mein choor hooN mai bhi tumhein bhi hosh nahin baRRa maza ho agar thori dooR sath chalo yeh aik shub ki mulaqaat bhi ghaNimat hai kise hai kal ki khabr thori dooR sath chalo abhi to jaag rahae hein chiragh rahooN ke abhi hai dooR sahr thori dooR sath chalo tawaf-e-manzil-janah hamein bhi karna hai Faraz tum bhi agar thori dooR sath chalo |
||
|
||
tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein aankhein to dushmanooN ki bhi purnum hein dosto apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise apni talaash mein to humein hum hein dosto kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto iss shahr-e aarjo se bhi baahar nikal chalo ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto[ nisbat = share, hissedari] |
||
|
||
juz teray koi bhi din raat na janay meray
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
juz teray koi bhi din raat na janay meray tu kahaN hai magr Ah dost puranay meray shumA ki lau thi kay wo tu tha sab-e-hijr daer tak rotA raha koi sirhanay meray khalq ki beKhabaree hai keH meree ruswa'ee looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray Aaj ik aur burS beeth gya us kay beghair jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray kaash tu bhi meri awaaz sunta ho phir pukara hai tujhe dil ki saada ne mere kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko loog aate hein bohat dil ko dukhane mere[ sab-e-hijr = judai ki rat, khalq = duniya, juz tere = except you] |
||
|
||
dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa vahii a.ndaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa ab ise log samajhate hai.n giraftaar meraa saKht nadiim hai mujhe daam me.n laanevaalaa kyaa kahe.n kitane maraasim the hamaare is se vo jo ik shaKhs hai muu.Nh pher ke jaanevaalaa tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa aaj tanhaa huu.N to koii nahii.n aanevaalaa mu.ntazir kisakaa huu.N TuuTii huii dahaliiz pe mai.n kaun aayegaa yahaa.N kaun hai aanevaalaa mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalate hai koii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa kyaa Khabar thii jo merii jaan me.n ghulaa hai itanaa hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz' dost hotaa nahii.n har haath milaanevaalaa |
||
|
||
us ne kahaa sun
~~~~~~~~~~~~~~ |
||
us ne kahaa sun, ahad nibhaane kii Khaatir mat aanaa ahad nibhaanevaale aksar majabuurii yaa mahajuurii kii thakan se lauTaa karate hai.n tum jaao aur dariyaa dariyaa pyas bujhaao jin aa.Nkho.n me.n Duubo jis dil me.n bhii utaro merii talab aavaaz na degii lekin jab merii chaahat aur merii Khvaahish kii lau itanii tez aur itanii uu.Nchii ho jaa_e jab dil ro de tab lauT aanaa |
||
|
||
Aankh se door na ho, dil se utar jaayega
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
Aankh se door na ho, dil se utar jaayega Waqt ka kya hai, guzarta hai guzar jaayega Itna manoos na ho, khilwat-e-gham se apni Tu kabhi khud ko bhi dekhega to darr jaayega [manoos=intimate; Khilwat-e-Gham=sorrow of loneliness] Tum sar-e-rah-e-wafa dekhte reh jaaoge Aur wo baam-e-rafaakat se utar jaayega [sar-e-rah-e-wafa=path of love; baam-e-rafaakat=responsibility towards love] Zindagi teri ataa hai to ye jaane waalay Teri bakhshish teri dehleez pe dhar jaayega [ataa=gift; bakhshish=donation; dehleez=doorstep] Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka "Faraz" Zaalim ab ki bhi na rooyega to mar jaayega [zabt=patience] |
||
|
||
Ab Aur Kya Kisi Se Marasim Barhayen Hum
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
Ab aur kya kisi se marasim barhayen hum Ye bhi bohot hai, tujhe bhool jayen hum [Marasim = Relationship] Sehra-e-zindagi mein koi doosra na tha Suntay rahe hain aap hi apni sadayen hum [Sehra = Desert] Is zindagi mein itni faraghat kisse naseeb Itna na yaad aa ke tujhe bhool jayen hum |
||
|
||
Huwi hai shaam to ankhon mein bus gaya phir tu
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
Huwi hai shaam to ankhon mein bus gaya phir tu Kahan gaya hai meray sheher ke musafir tu Mein jaan ta hoon ke duniya tujhe badal de gi Mein maan ta hoon ke aisa naheen bazahir tu Bicharna hai to hansi khushi se bichar ja Yeh kya sochta hai har muqaam peh aakhir tu Faraz tu ne us mushkilon mein daal diya Zamaana sahib-e-zar aur sirf shair tu |
||
|
||
Usko juda huwe bhi zamaana bohot huwa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
Usko juda huwe bhi zamaana bohot huwa Ab kya kahain ye kissa, puraana bohot huwa Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq Ay marg-e-nagaahaan tera aana bohot huwa [Shab-e-Firaq = Night Of Separation] [Marg = Death] Hum khuld se nikal to gaye hain par ay khuda Itne se vaakiye ka fasaana bohot huwa [Khuld = Heaven] Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani Usse zara rabt barhaana bohot huwa [Rabt = Relation] Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka zikr "Ahmed Faraz" tujhse kaha na, bohot huwa |
||
|
||
Back to Ghazal home | ||