Back to ghazal home | ||
Firaq Gorakhpuri (1896 to 1982)
|
||
Aur kya kisi se marasim burha'ein hum
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
Aur kya kisi se marasim burha'ein hum yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq aa tere raaste mein sitare lota'ein hum woh log ab kahan hein jo kehte they kal faraz heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum |
||
runjish hi sahi
~~~~~~~~~~~~~~ |
||
runjish hi sahi, dil hi dokhanay ke liye aa aa phir se mujhe chor ke jaanay ke liye aa kuch tau meray pindar-e mohabbat ka bharam rukh tu bhi tau kabhi mujh ko mananay ke liye aa pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi tau rusm-o rah-e dunya hi nibhanay ke liye aa kis kis ko bataein gay joda'yee ka sabab hum tu mujh se khafa hai tau zamanay ke liye aa ik umr se hoon lazat-e giryaa se bhi mehroom ai rahat-e jaan mujh ko rulanay ke liye aa ab tuk dil-e khush feham ko tujh se hein umidein yeh aakhari shumein bhi bujhanay ke liye aa dil-e khush feham = optimistic heart giryaa = tears |
||
sar meN saudA bhi nahIN
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
sar meN saudA bhi nahIN dil meN tamannA bhi nahIN lEkin is tark-e-muhabbat ka bharOsA bhi nahIN yUN to hangAme uTHAtE nahiN dIwAna-e-ishq magar AI dOst kuchh aisON ka THikAnA bhi nahIN muddatEN guzriN terI yAd bhi AyI na hamEN AUr ham bhUl gayE hON tujhe, aisA bhi nahIN muNh se ham apne burA tO nahiN kahtE, ke 'firAq' hai terA dOst magar Admi achchhA bhi nahIN |
||
Back to ghazal home | ||