Back to ghazal home | |
Mirza Ghalib (1796 to 1869) |
|
daayam pa.Daa huaa tere dar par nahii.n huu.N mai.n
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
daayam pa.Daa huaa tere dar par nahii.n huu.N mai.n Khaak aisii zi.ndagii pe ke paththar nahii.n huu.N mai.n [daayam = forever] kyuu.N gardish-e-mudaam se ghabaraa na jaaye dil insaan huu.N pyaalaa-o-saaGar nahii.n huu.N mai.n yaa rab! zamaanaa mujh ko miTaataa hai kis liye lauh-e-jahaa.N pe harf-e-mukarrar nahii.n huu.N mai.n [lauh = slate used for writing; harf-e-mukarrar = repeated letter (here it means obsolete) ] had chaahiye sazaa me.n uquubat ke vaaste aaKhir gunahagaar huu.N kaafir nahii.n huu.N mai.n [uquubat = wrongdoing/sin] |
|
Aah ko chahiyey
~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
Aah ko chahiyey, ik umar asar honay tak, Kaun jeeta hai, teri zulf kay sar honey tak ! [A curse needs a life-time to have its effect, Who is going to live until your hair-locks get untangled !] ('hair-locks getting untangled' also means 'love having success') Aashqi sabr talab, aur tamanna betaab, Dil ka kya rang karoon, khoon-e-jigr honay tak ! Aah ko chahiyey ik umar.................... Hamnay maana, ki tagaful(hesitate) na karogay lekin, Khaak ho jaayengay hum, tumko khabar honay tak ! Aah ko chahiyey ik umar.................... Gam-e-hasti ka 'Asad' kis-say ho, juzz-marg ilaaj Shama har rang mein jalti hai, sahar honay tak ! Aah ko chahiyey ik umar.................... Aah ko chahiyey, ik umar asar honay tak, Kaun jeeta hai, teri zulf kay sar honey tak !!! |
|
dil hee to hai
~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ? royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ? [ sang = stone, KHisht = brick ] dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ? [ dair = temple, haram = mosque, dar = gate, aastaaN = abode, rehguzar = path/way ] qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ? [ qaid-e-hayaat = life/bondage of life, band-e-Gham = conceled sorrows,nijaat = release/liberation ] 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ? roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ? [ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ] |
|
Back to ghazal home | |