Back to ghazal home | ||
Ibne Insha (1927 to 1978)
|
||
kal chaudhavii.n kii raat thii
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
kal chaudhavii.n kii raat thii shab bhar rahaa charchaa teraa kuchh ne kahaa ye chaa.Nd hai kuchh ne kahaa cheharaa teraa ham bhii vahii.n maujuud the ham se bhii sab puuchhaa kiye ham ha.Ns diye ham chup rahe manzuur thaa pardaa teraa is shahar me.n kis se mile.n ham se to chhuuTii mahafile.n har shaKhs teraa naam le har shaKhs diivaanaa teraa kuuche ko tere chho.D kar jogii hii ban jaaye.N magar jangal tere parbat tere bastii terii saharaa teraa tuu bevafaa tuu maharabaa.N ham aur tujh se bad-gumaa.N ham ne to puuchhaa thaa zaraa ye vaqt kyuu.N Thaharaa teraa ham par ye saKhtii kii nazar ham hai.n faqiir-e-rahaguzar rastaa kabhii rokaa teraa daaman kabhii thaamaa teraa haa.N haa.N terii suurat hasii.n lekin tuu aisaa bhii nahii.n is shaKhs ke ashaar se shoharaa huaa kyaa kyaa teraa beshak usii kaa dosh hai kahataa nahii.n Khaamosh hai tuu aap kar aisii davaa biimaar ho achchhaa teraa bedard sunanii ho to chal kahataa hai kyaa achchhii Gazal aashiq teraa rusavaa teraa shaayar teraa "Inshaa" teraa |
||
us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N yaad rahegaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
us shaam vo ruKhsat kaa samaa.N yaad rahegaa vo shahar vo kuuchaa vo makaa.N yaad rahegaa vo tiis ki ubharii thii idhar yaad rahegii vo dard ke uThaa thaa yahaa.N yaad rahegaa kuchh miir ke abyaat the kuchh faiz ke misare ik dard kaa thaa jin me.n bayaa.N yaad rahegaa ham bhuul sake hai.n na tujhe bhuul sake.nge tuu yaad rahegaa hame.n haa.N yaad rahegaa |
||
insha ji uthho ab kooch karo
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
insha ji uthho ab kooch karo, is shahar mein ji ko lagana kya wahashi ko sukoo.n se kya matlab, jogi ka nagar mein thikana kya. is dil ke dareeda.n daman ko, dekho to sahi, socho to sahi jis jholi mein sau chhed huye, us jholi ko failana kya. us roj jo unko dekha hai, ab khwab ka alam lagta hai us roj jo unse baat hui, wo baat bhi thhi afsana kya. us husn ke sachche moti ko, ham dekh sakein per chhu na sakein jise dekh sakein per chhu na sakein, wo daulat kya wo khajana kya usko bhi jala ai dukhte huye man, ik shola laal bhabhooka ban yu.n aansu ban bah jana kya yun maati mein mil jaana kya. jab shahar ke log na rasta dein, kyun ban mein na ja bishraam karein deewano ki si na baat kare, to aur kare deewaana kya. |
||
raat ke Khvaab sunaaye.n kis ko
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
||
raat ke Khvaab sunaaye.n kis ko raat ke Khvaab suhaane the dhu.ndhale dhu.ndhale chehare the par sab jaane pahachaane the ziddii vahashii alha.D chanchal miiThe log rasiile log ho.nTh un ke Gazalo.n ke misare aa.Nkho.n me.n afsaane the ye la.Dakii to in galiyo.n me.n roz hii ghuumaa karatii thii is se un ko milanaa thaa to is ke laakh bahaane the ham ko saarii raat jagaayaa jalate bujhate taaro.n ne ham kyuu.N un ke dar pe utare kitane aur Thikaane the vahashat kii unvaan hamaarii in me.n se jo naar banii dekhe.nge to log kahe.nge 'Insha' jii diiivaane the |
||
Back to ghazal home | ||