Back to ghazal home | |
Javed Akhtar |
|
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain zakhm kaise bhi ho.n kuchh roj mein bhar jaate hain rasta roke khadi hai yahee uljhan kab se koi poochhe to kahien kya ki kidhar jaatein hain narm alphaj, bhali baatein, muhajjab lahje [sabhya] pahli baarish mein hi ye rang utar jaatein us dariiche mein bhi ab koi nahi aur ham bhi[rozan, khidki] sar jhukaye huye chupchap gujar jaate hain |
|
hamare shauk ki ye inteha thhi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
hamare shauk ki ye inteha thhi kadam rakha ki manjil rasta thhi. kabhi jo khwab thha wo paa liya hai magar jo kho gayi wo cheez kya thhi main bachpan mein khilaune todta thha mere anjaam ki wo ibtada thhi [ibtada - shuruat] muhabbat mar gayi mujhko bhi gham hai mere achhe dino ki aashna thhi [aashna-dost,parichit] mariij-e-khwab ko to ab shafa hai magar duniya badi kadwi dawa thhi [mariij-e-khwab kwab dekhne ka mareej shafa-cured] |
|
gham hote hain jaha zahanat hoti hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
gham hote hain jaha zahanat hoti hai duniya mein her shai ki kiimat hoti hai [zahanat-intelligence,senses; shai-cheez] aksar wo kahte hain wo bas mere hain aksar kyun kahte hain hairat hoti hai tab ham dono waqt chura kar laate thhe ab milte hain jab bhi fursat hoti hai |
|
ye tasalli hai ki hain nashaad sab
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
ye tasalli hai ki hain, nashaad sab main akela hi nahi, barbaad sab [nashaad-nakhush] sabki khatir hain yaha sab ajnabi aur kahne ko hain ghar abaad sab bhoolkar sab ranjishei.n sab ek hain main batau.n sabko hoga yaad sab talkhiyan kaise na ho ash'aar mein hampe jo gujari hamein hai yaad sab |
|
main khud bhi sochta hun
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
main khud bhi sochta hun mera kya ye haal hai jiska jawaab chahiye wo kya sawaal hai ghar se chala to dil ke siwa paas kuchh na thha kya mujhse kho gaya hai mujhe kya malaal hai phir koi khwab dekhun koi aarju karoon aye dil-e-tabaah tera kya khayaal hai |
|
sach ye hai bekaar hamein gham hota hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
sach ye hai bekaar hamein gham hota hai jo chaha thha duniya mein kam hota hai dhalta sooraj faila jangal rasta gum hamse poochho kaisa aalam hota hai zakhm to hamne in aankho se dekhe hain logo se sunte hain marham hota hai zahan ki shakho.n per ash'aar aa jate hain jab teri yaado.n ka mausam hota hai |
|
mere dil mein utar gaya sooraj
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
mere dil mein utar gaya sooraj tiiragi mein nikhar gaya sooraj dars dekar hamein ujaale ka khud andhere ke ghar gaya sooraj [dars-knowledge] doodbte waqt thha jard itna log samjhe ki mar gaya sooraj |
|
Banjara (Nazm)
~~~~~~~~~~ |
|
main banjara waqt ke kitne shaharo se gujra hun lekin waqt ke is shahar se jaate jaate mudkar dekh raha hun soch raha hun tumse mera ye nata bhi toot raha hai tumne mujhko chhoda thha jis shahar mein aake wo shahar bhi mujhse chhoot raha hai mujhko wida karne aaye hain wo saare din jinke kandhe per soti hai ab bhi tere julf ki khusbu wo saare lamhe jinke maathe per hain raushan ab bhi tumhare lams[sparsh] ka tika nam aankho se gumsum mujhko dekh rahe hain mujhko inke dukh ka pata hai inko mere gham ki khabar hai lekin mujhko hukme-safar jana hoga waqt ke agle shahar ab mujhe jana hoga naye shahar ke sab din sab raatein jo tumse nawaakif honge wo kab meri baat sunenge mujhse kahenge jao apni rah lo rahi hamko kitne kaam pade hain jo biti so beet gayi ab wo kyun dohrate ho kandhe per jholi rakhe kyun phirte ho kya paate ho main bechara ik banjara awaara firte firte jab thak jaunga tanhai ke teele per jakar baithunga phir jaise pahchan ke mujhko ik banjara jaan ke mujhko waqt ke agle shahar ke sare nanhe munne bhole lamhe nange pao.n bhage bhage aa jayenge mujhko gher ke baithenge aur mujhse kahenge kyun banjare tum to waqt ke kitano shahro se gujre ho un shahro ki koi kahani hame sunao unse kahunga nanhe lamho - ek thhi rani.... sunke kahani sare ghamgi.n lamhe mujhse ye poochhenge tum kyun unke shahar na aayi lekin unko bahla lunga unse kahunga ye mat poochho aankhe mundo aur ye socho wo hoti to kaisa hota tum ye kahti tum wo kahti tum is baat pe hairaa.n hoti tum is baat pe kitni hasti tum hoti to aisa hota tum hoti to waisa hota dheere dheere sare nanhe lamhe so jayenge aur main haule se uthhkar waqt ke agle shahr ke raste ho lunga yahi kahani phir dohrane tum hoti to aisa hota tum hoti to waisa hota |
|
Back to ghazal home | |