Back to ghazal | |
Kafeel Aazer |
|
Baat nikalegi to phir door talak jayeegi
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
Baat nikalegi to phir door talak jayeegi, Log be-vajah udaasi ka sabab poochayengay, Yeh bhi poochayengay ki tum itni pareshaan kyon ho, Ungaliyan uthayengi sukhay huey baalon ki taraf, Ik nazar dekhyengay guzray huey saalon ki taraf, Choodiyon par bhi kai tanz kiyey jaayengay, Kaanptay haathon pay bhi fikray kasay jaayengay, Log zaalim hai, har ik baat ka taana dengay, Baaton baaton mein mera zikr bhi ley aayengay, Unki baaton ka zara sa bhi asar mat lena, Varna chehray kay taasur say samajh jaayengay, Chahey kuch bhi ho sawaalat na karna unsay, Meray baaray mein koi baat na karna unsay, Baat nikalegi to phir door talak jayeegi ! |
|
Back to ghazal home | |