Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!
 
 Back
  Q'ata
 
lufzooN mein fusaanay dhoondtay hein hum log
lumhooN mein zamaanay dhoondtay hein hum log

tau zeher hi de sharaab keh ker saqi
jeenay ke bahaanay dhoondtay hein hum log


hur zaghum ko seenay peh saja laite hein
her dard ko hum dil mein basa laite hein

tum pholoon peh soutay ho tu dukhta hai badan
hum kantoon ko aankhooN se laga laite hein


bahut pahale se un qadamo.n kii aahaaT jaan lete hai.n
tujhe ai zi.ndagii ham duur se pahachaan lete hai.n

tabiyat apanii ghabaraatii hai jab sun-saan raato.n me.n
ham aise me.n terii yaado.n kii chaadar taan lete hai.n


teeragi kitane charagoN ka lahoo pee chuki
na jaane kitane sitare tutenge abhi sahar hone tak


Hum Dum ki kasam, Hum Dum key leeyay,
Hum Dum sey gaey, Hum Dum na Milaa.

Zukm itney lagey, Murhum key leeyay,
Mur hum bhi gaey, Murhum na milaa.


Hota hai jis jagah meri barbadiyon ka jikra
tera bhi naam leti hai dunia kabhi kabhi


mere baad kidhar jaayegii tanhaa_ii
mai.n jo maraa to mar jaayegii tanhaa_ii


maanaa ke musht-e-Khaak se ba.Dakar nahii.n huu.N mai.n
lekin havaa ke raham-o-karam par nahii.n huu.N mai.n


zaKhm-e-tanhaa_ii me.n Khushbuu-e-hinaa kisakii thii
saayaa diivaar pe meraa thaa sadaa kisakii thii

aa.Nsuo.n se hii sahii bhar gayaa daaman meraa
haath to mai.n ne uThaaye the duaa kisakii thii


Etna toota hoon ki choone se bikhar jaoongan
ab agaar aur dua doge to mar jaoongan

Phool rah jaayege guldaano mein yaadoon ki nazaar
Main to khushboo hoon phazaon mein bikhar jaungaa


Roz Taaron ki Numaaish mein Khalal Padtaa hai
Chaand paagal hai andhere mein nikal padtaa hai

Unki yaad aayi hai Saanso zara Ahista chalo
dhadkanon se bhi Ibaadat mein khalal padtaa hai


jo utar ke ziinaa-e-shaam se, terii chashm-e-Khush me.n samaa ga_e
vahii jalate bujhate se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa ga_e

merii umr se na simaT sake, mere dil me.n itane savaal the
tere paas jitane javaab they, terii ik nigaah me.n aa ga_e


lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N
mai.n apane vajuud kii sazaa huu.N

ai mujh ko fareb dene vaale mai.n
tujh par yaqiin kar chukaa huu.N


aa.Nsuuo.n kii jahaa.N paayamaalii rahii
aisii bastii charaaGo.n se Khaalii rahii

jab kabhii bhii tumhaaraa Khayaal aa gayaa
phir ka_ii roz tak beKhayaalii rahii


Khvaab is aa.Nkho.n se ab ko_ii churaa kar le jaaye
qabr ke suukhe huye phuul uThaa kar le jaaye

mu.ntazir phuul me.n Khushbuu kii tarah huu.N kab se
ko_ii jho.nke.n kii tarah aaye u.Daa kar le jaaye

[mu.ntazir=waiting]

ye u.Dii u.Dii sii ra.ngat, ye khule khule se gesuu
terii subah kah rahii hai terii raat kaa fasaanaa


qisse terii nazar ne sunaaye na phir kabhii
ham ne bhii dil ke daaG dikhaaye na phir kabhii

ai yaad-e-dost aaj tuu jii bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr kii aaye na phir kabhii


kabhii aa.Nsuu kabhii Khushii bechii
ham Gariibo.n ne bekasii bechii

chand saa.Nse Khariidane ke liye
roz tho.Dii sii zi.ndagii bechii


Itni muddat baad mile ho
Kin sochon me gum rehte ho

Tez havaa ne mujhse poochhaa
Ret pe kyaa likhte rehte ho

Kaunsi baat he tum me aisi
Itne achhe kyau lagte ho

Humse na poochho hijr ke kisse
Apni kaho ab tum kaise ho


der lagii aane me.n tum ko shukar hai phir bhii aaye to
aas ne dil kaa saath na chho.Daa vaise ham ghabaraaye to

shafaq dhanuk mahataab ghaTaaye.n taare naGme.n bijalii phuul
us daaman me.n kyaa kyaa kuchh hai vo daaman haath me.n aaye to


mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahe.n kahii.n raat dhal na jaaye

abhii raat kuchh hai baaqii na uThaa naqaab saaqii
teraa ri.nd girate girate kahii.n phir sambhal na jaaye

mujhe phuu.Nkane se pahale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahii.n saath jal na jaaye


sar se chaadar badan se qabaa le ga_ii
zi.ndagii ham faqiiro.n se kyaa le ga_ii

merii muTThii me.n suukhe huye phuul hai.n
Khushbuuo.n ko u.Daakar havaa le ga_ii


dil me.n na ho jurrat to muhabbat nahii.n milatii
Khairaat me.n itanii ba.Dii daulat nahii.n milatii

kuchh log yuu.N hii shahar me.n ham se bhii Khafaa hai.n
har ek se apanii bhii tabiiyat nahii.n milatii


tum ye kaise judaa ho gaye
har taraf har jagah ho gaye

bevafaa to na vo the na ham
yuu.N huaa bas judaa ho gaye


tooti hui muNder pe nanha sa ik charaag
Mausam se kah raha thha aandhi chala ke dekh


Husn per jab kabhi shawaab aaya
saari duniya mein inkalaab aaya

mera hi khat jo lautaya tune
maine sanjha tera jawaab aaya

ghamo ki nisbat na poochhiye hamse
hamare hisse hi behisaab aaya


dekhna hi hai tujhko agar meri udaan
to phir uthha de kuchh auur aasmaan


muhabbat mein chhalakte deewane dil ajeeb hote hain
na gahrai ka pata chalta hai na kinaare kareeb hote hain


ik mujjasam shikastagi meri rooh
aur baaki hai kuchh nafas ka khel
mere gird ye teri baahein jaise
tootaTi shaakh se lipatTi bel


gham is kadar badhe ki main ghabra ke pii gaya
is dil ki bebasi pe taras khaa ke pii gaya
thukra raha thha mujhko badi der se jahaaN
main aaj sab jahaan ko thukra ke pii gaya


Issse pehle ke bewafa ho jaayain
Kyun na ay dost hum judaa ho jaayain
Bandagi humne chor di hai "Faraz"
Kya karain log jub khuda ho jaayain


main phool taaNk raha huN tumhare jude mein, tumhari aankh jhukti jaati hai
jaane kya aaj main kahne waala hun, jubaan khusk hai awaaj rukti jaati hai

maine har daur mein har nasl ke kaatil dekhe
main muhabbat hun meri umra bahut lambi hai

 
 Back