Back to ghazal home | |
Shahryar (born ...) |
|
ajiib saanehaa mujh par guzar gayaa yaaro
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
ajiib saanehaa mujh pe guzar gayaa yaaro mai.n apane saaye se kal raat dar gayaa yaaro har ek naqsh tamannaa kaa ho gayaa dhu.ndhalaa har ek zaKm mere dil kaa bhar gayaa yaaro bhaTak rahii thii jo kashtii vo garq-e-aab huii chadhaa huaa thaa jo dariyaa utar gayaa yaaro vo kaun thaa vo kahaa.N kaa thaa kyaa huaa thaa use sunaa hai aaj koii shaKs mar gayaa yaaro |
|
had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
had-e-nigaah tak ye zamii.n hai siyaah phir nikalii hai juganuo.n kii bhaTakatii sipaah phir ho.nTho.n pe aa rahaa hai ko_ii naam baar baar sannaaTo.n kii tilasm ko to.Degii aah phir pichhale safar kii gard ko daaman se jhaa.D do aavaaz de rahii hai ko_ii suunii raah phir berang aasmaa.N ko dekhegii kab talak manzar nayaa talaash karegii nigaah phir Dhiilii hu_ii giraft junuu.N kii ke jal uThaa taaq-e-havas me.n ko_ii charaaG-e-gunaah phir |
|
ham padh rahe the Khvaab ke, purzo.n ko jo.D ke
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
ham padh rahe the Khvaab ke, purzo.n ko jo.D ke aa.Ndhii ne ye tilism bhii, rakh Dalaa to.D ke aaGaaz kyo.n kiyaa thaa, safar un Khvaabo.n kaa pachhataa rahe ho sabz, zamiino.n ko chho.D ke ik buu.Nd zahar ke liye, phailaa rahe ho haath dekho kabhii Khud apane, badan ko nicho.D ke kuchh bhii nahii.n jo Khvaab kii, tarah dikhaa_ii de ko_ii nahii.n jo ham ko, jagaaye jhinjho.D ke in paaniyo.n se ko_ii, salaamat nahii.n gayaa hai vaqt ab bhii kashtiyaa.N, le jaao mo.D ke |
|
kiyaa iraadaa baarahaa tujhe bhulaane kaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
kiyaa iraadaa baarahaa tujhe bhulaane kaa milaa na uzr hii ko_ii magar Thikaane kaa ye kaisii ajanabii dastak thii kaisii aahaT thii tere sivaa thaa kise haq mujhe jagaane kaa ye aa.Nkh hai ki nahii.n dekhaa kuchh sivaa tere ye dil ajab hai ki Gam hai ise zamaane kaa vo dekh lo vo samandar Khushk hone lagaa jise thaa daavaa merii pyaas ko bujhaane kaa zamii.n pe kis liye zanjiir ho gaye saaye mujhe pataa hai magar mai.n nahii.n bataane kaa |
|
siine me.n jalan aa.Nkho.n me.n tuufaan saa kyun hai
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
siine me.n jalan aa.Nkho.n me.n tuufaan saa kyuu.N hai is shahar me.n har shaKhs pareshaan saa kyuu.N hai dil hai to dha.Dakane kaa bahaanaa ko_ii Dhuu.NDhe patthar kii tarah behis-o-bejaan saa kyuu.N hai tanhaa_ii kii ye kaun sii manzil hai rafiiqo taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuu.N hai ham ne to ko_ii baat nikaalii nahii.n Gam kii vo zuud-e-pashemaan pashemaan saa kyuu.N hai kyaa ko_ii na_ii baat nazar aatii hai ham me.n aa_iinaa hame.n dekh ke hairaan saa kyuu.N hai |
|
kis-kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gayaa
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ |
|
kis-kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gayaa Gairo.n kaa naam mere lahuu se likhaa gayaa nikalaa thaa mai.n sadaa-e-jaras kii talaash me.n bhuule se is sukuut ke seharaa me.n aa gayaa [sadaa-e-jaras=sound of bell; sukuut ke seharaa=desert of silence] kyo.n aaj us kaa zikr mujhe Khush na kar sakaa kyo.n aaj us kaa naam meraa dil dukhaa gayaa is haadase ko sun ke karegaa yaqii.n ko_ii suuraj ko ek jho.nkaa havaa kaa bujhaa gayaa |
|
Back to ghazal home | |