Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!





 

ai ishq kahiN ley chal!

unn chand sitaaroN key bikhrey huey shahroN meiN
unn noor ki kirnoN ki Thahri hui lahroN meiN
Thahri hui nahroN meiN, soiee hui lahroN meiN
ai kHizr-e-haseeN ley chal! ai ishq kahiN ley chal!

aankhoN meiN samaai hai ik kHwaab-numaa duniya
taaroN ki tarah raushan mahtab numaa duniya
jannat ki tarah rangeeN shadaab numaa duniya

lillah wahiN ley chal! ai ishq kahiN ley chal!

yeH dard bhari duniya basti hai gunaahoN ki
dil chaak ummidoN ki, saffak nigahoN ki
zulmoN ki, jafaaoN ki, aahoN ki, karaahoN ki

haiN gHam sey haziN, ley chal! ai ishq kahiN ley chal!
[ haziN= full of sorrow]

qudrat ho himaayat per, humdard ho qismat bhi
salma bhi ho pahloo meiN, salma ki muhabbat bhi
har shai meiN faragHat ho, aur teri inaayat bhi

ai tifl-e-haseeN ley chal! ai ishq kahiN ley chal!

hum prem pujari haiN, tu prem kanhaiyya hai
hum prem kanhaiyya haiN, yeH prem ki nayyaa hai
yeH prem ki nayya hai, tu iss ka khiwayyaa hai

kuchh fikr nahiN ley chal! ai ishq kahiN ley chal!

 

zindagi kay mailay mein

zindagi kay mailay mein
khaishoon kay railay mein
tum say kia kahain janan
iss qadar jhumailay mein

waqt kee rawani hai
bukht kee garani hai
sukht bay-zamini hai
sukht la-makani hai
hijr kay sumunder mein
tukht aur tukhtay kee aik he kahani hai
tum ko jo sunani hai

baat go zara see hai
baat umr bher kee hai
umr bher kee batain kub do ghari mein hoti hein

dard kay sumunder mein
un-gint jazeeray hein
bay-shumaar moti hein

aankh kay derichay mein
tum nein jo sajaya Tha
baat uss diay kee hey
baat uss gilay kee hey
jo laho kee khulwat mein chore bun kay aata hey
Nabz kee faseelon pay toot toot jata hey

zindagi say lumbi hey
baat rut-jugay kee hey
rastay mein kaisay ho
baat tukhliay kee hey

tukhliay kee batoon mein guftgoo azafi hey
piar kernay waloon ki ik nigah kafi hey

ho sakay to sun jao aik din akailay mein
tum say kia kahain janan iss qadr jhumailay mein.

 

chhod aayaa thaa

Zaraa sii baat pe har rasm to.D aayaa thaa
Dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa
Muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko
Vo ek lamhaa ki mai.n tujh se tang aayaa thaa

Shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise
Kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa

Guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah
Abhii to mai.n use pahachaan bhii na paayaa thaa

Pataa nahii.n ki mere baad un pe kyaa guzarii
Mai.n chand Khvaab zamaane men chhod aayaa thaa
 

Muflisi..

muflisi ne hum ko kis qadar sata rakha hai
dil apna phir bhi gulistan bana rakha hai
poochiye to zara dunya main kia rakha hai
aik khuda aik sanam apna rakha hai
anhoni ka bhi maza chakha hai
wafaien ker ke khud ko saza ke lye rakha hai
hamaien koi muhabbat kare bhi to kaise
hum ne khud ko khud se juda rakha hai
tera ghum dekhaie de bhi to kaise
akhir tu ne isay dil main bitha rakha hai
sabh kuch khaarch ker ke zindagi bachi hai
isay bhi mot kelye bacha rakha hai



Muddat hui hai...

Saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj,
Hai pyaas un labon ki pareshaan kiye hue.


Qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
Darya-e-dil main mere toofaan kiye hue.

Aaye nahin hai ab to woh Gham gusaar bhi
Mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye hue


Laakhon hain har shahr main tu ek hi nahin
Husne badr pe dil ko Qurbaan kiye hue.


Mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
Hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye hue

                               



Erum DevjaniŠ2002-2003
All rights reserved