Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!



Ek lamha aur jeene ke muntazir hum bhi they,
Zindagi, toone mera saath to diya hota.

Maana hamare beech faasle hain bahut gehre,
Magar dil ke jazbaat, na humse chupaya keeje

Socha tha usey kahaingey tum jaan ho hamari..
woh tanha chor gya safar sey bhi pehley..
ik khawahish thi usey apnaney ki.
woh haath chor gya merey pakrney sey bhi pehley..

Muskrahat kis sachi ankhon sey dekh lena...
agar tum nazar ayo to chup sey unmain sama jana...

Rakha hai tujh ko istarha sambhak key dil main..
key ab apni bhi khawahish nahin rahi key is dil key makeen ko
 rukhsat karain kisi aur key saath.

Itni kamzoor to na thi meri mohabbat..
ya shayid tumhi ney kabhi mujhey chaha na tha...

Kaha tha kisi ney meri ankhain hain pyari...
isko kia pata key in main kia hai...
jagi hain kitni ratain inhon ney..
hey in main kitna khumar teri chahat ka...

Jee laingey hum inhee do dinon ki yaad main..
par ai dushman-e-jaan...
ik din mujhey apni panah main ley kar to dekh..
meri pyar ki barsaat main..tu to kia..
teri rooh tak bheeg jayegi..

Woh makan khali to na tha..
tumney awaz to dee hoti..
hum shayid peechey mur kar dekhtey..
tumney awaz to dee hoti.

Yeh raastey yeh galiyan kion sunsaan hain..
shayid woh shakhs ab yahan sey guzarta nahin...

Kaho kaisey guzre din..kaisi guzri ratain..
kehney ko hongi dil main.aur bhi buhat si batain.

 Sochti hoon kabhi key keh don tumsey...
apna thikana kaheen aur karlo..hamarey darmayan ik diwar hai..

Chaha tha tumhey is shidat sey key chahat bhi har gai..
teri chahat hi na mujhey mil saki to sari shidatain kis kaam keen..

Bewafa woh nahin..
bawafa bhi nahin..
shikayat kion kery..
usney to kuch kaha bhi nahin..

Hum sey kia mangtey ho sahab hum to khud tahi daman hain..
key jahliat key sar sey insaniat bheek main bhi mila nahin karti...

Merey khawabon main koi ata na tha..
merye khalon main koi rehta na tha..
bandha hai kaisa tujh sey yeh bandhan..
key terey siwa ab meri dunia main koi nahin..

 Na jee sakaingey terye bin..
na mar sakaingey...
ik kasak si hai dil main..
ajab haal hai dil ka..
na log samajh sakaingey..
na hi hum kuch keh sakaingey..
        

 

Yeh Kehna

janne walo! Us ke dees mai jao agar
to is pagal ka usay yeh paigham kehna

Yaad mai uski guzarte hain sub-o-shaam kehna
Zindagi ka markiz,soch ka mehwar woh hi hai

dil usi ka, zindagi bi hai us ke naam kehna
Diwaroo pe us ka naam na likhne ki waja batana
Qalm aur haath ke beech tha uska ahtaraam kehna

Jaane walo! agar yeh kehne ka waqat na milay to faqat,
aik pagal ka usay juk ke salaam kehna

Lout aana
Mera pyar kabi yaad aye to lout aana
beetay dinoo ka khyaal sataay to lout aana
humai chod kar kissi aur haath to thaam lia
kabi woh haath churaay to lout aana
jab saffar kathan ho aur woh bi saath chod jaay
aur manzil bi na mil paay to lout aana
phir duniya kay hajoom mai jab nazar na aye koi apna
aur tanhaai se jo dil gabhraay to lout ana
udaasi ka samandar pehla ho chaar soo
nah koi kinaara nazar aye to lout aana
jab suraj lage madham aur chand lage benoor
koi tara bi na tim-ta-ma-ay to lout aana
Be-wafai ka jo kabhi tum se khelay who khel
aur dil koi chout hhaay to lout aana
guzarai ge tamaam umar teri rah mai beecha kar ankhai
meray pyar ki gehraan ka ahsaas ho jaay to lout ana.
 

Zaroor

Agar kabi saata'e tumhein meri yaad to karna milne ki dua zaroor
agar yadd sunhaane din aaien to karna milne ki dua zaroor

agar kabhi zindagi mai huay tanha tum
to yaad is humsaffar ko karna zaroor

maloom hai kahbi na socha tha tum ne
kaise jioo gi bin tumhare

kaise bataoo tum ko woh khatun, dushwaar saffar
jab chod gay aadhe raste tum

pata nahi tumhe kaise zinda hoon us ke baad
jo kuch kia tumari jhooti muhabbat ne mere saath

phir bi agar din raat duka'ae  woh tumara dil
to yaad karna is dost ki zaroor

mai mamaisha rahoo gi intazzar mai tere
chahe woh ik aur dhoka hi sahi mere liae

jab suraj dhoob chuka ho
sitare chamak rahe hoo
sara jahan so raha ho

ho sake to lokhna in sitaroo ke beech mera naam zaroor
agar kabi meri yaad tadpae to karna milne ki dua zaroo

                               



Erum DevjaniŠ2002-2003
All rights reserved