Site hosted by Angelfire.com: Build your free website today!

Chapter 3

Slok

Bahu Saastra Bahu Smriti

Adhik Shastra Aur Smritiya

Pekhe Sarab Dadoli

Sabhi Doond Kar Dekhe Hai

Poojsi Naahi Hari Hare

Koi Bhi Hari Naam Ko Nahi Pahunchta

Nanak Naam Amol----1

Hey Nanak! Hari Ka Naam Amulya Hai

Asatpadi

Jaap Taap Gyan Sabhi Dhyan

Yadi Jap, Tap, Gyan Dhyan Karey

Khat Saastra Smriti Vakhiyaan

Chha: Shastro Aur Smritiyo Ki Katha Karey

Jog Abhiyaas Karam Dharam Kiriya

Yog Abhyaas Aur Karm Ki Kriya Karey

Sagal Tyagi Ban Madhey Firiya

Sabhi Ko Chhodkar Jangal Mein Ghumta Rahey

Anik Prakaar Kiye Bahu Jatna

Aur Bhi Kai Prakaar Ke Yatna Karey

Pun Daan Homey Bahu Ratna

Bada Punya Daan Aur Ratno Ka Havan Karey

Sarir Kataye Homey Kari Rati

Rati Rati Sharir Katva Kar Havan Mein Padey

Barat Nem Karey Bahu Bhati

Varat, Nem Kai Prakaar Ke Karey

Nahi Tuli Ram Naam Bichar

Yeh Sabhi Ram Naam Ke Vichar Ke Barabar Nahi

Nanak Gurmukhi Naam Japiye Ikbaar----1

Hey Nanak! Gurmukh Jo Ek Baar Naam Japta Hai


Nau Khand Prithmi Firey Chir Jeevay

Yadi Dharti Ke Nau Bhag Ghumey, Adhik Samay Liye

Maha Udaas Tapisaru Thivey

Bada Udaasi Aur Tapasvi Ho Jaye

Agni Mahi Homat Paraan

Apne Praan Agni Mein Ahuti Daaley

Kanik Asav Hevar Bhumi Daan

Sone, Ghore, Haathi, Dharti Daan Karey

Nauli Karam Karey Bahu Aasan

Neti, Dhoti, Karm Aur Adhik Aasan Karey

Jain Maarg Sanjam Ati Sadhan

Jain Mat Ke Sayam Aur Bhaari Saadhan Karey

Nimakh Nimakh Kari Sarir Katavey

Chhota Chhota Karkey Sharir Katva Le

Tau Bhi Haumey Mel Na Jaavey

Tab Bhi Ahankaar Ki Mel Nahi Jaati

Hari Ke Naam Samsar Kachu Naahi

Hari Ke Naam Barabar Kuch Nahi

Nanak Gurmukhi Naam Japat Gati Paahi----2

Hey Nanak! Gurmukh Naam Japtey Hi Sukh Prapt Karte Hai


Man Kaamna Tirth Deh Chutey

Manki Ichcha Anusar Tirth Par Jaan Nikley

Garb Gumaan Na Man Te Hutey

Phir Bhi Man Se Akad Aur Ahankaar Nahi Jaata

Soch Karey Dinsu Ar Rati

Raat Din Pavitra Hone Ke Yatna Karey

Man Ki Mael Na Tan Te Jaati

Sharir Mein Man Ki Mel Nahi Jaati

Is Dehi Kau Bahu Sadhna Karey

Yeh Sharir Ke Liye Kai Sadhnaye Karey

Man Te Kabahu Na Bikhya Tarey

Man Se Vishay Kabhi Door Nahi Hotey

Jali Dhovey Bahu Deh Aneeti

Yadi Sharir Ko Pani Se Sada Dhoye

Sudh Kaha Hoi Kaachi Bheeti

Magar Kachchi Deewar Kahan Saaf Hoti Hai

Man Hari Ke Naam Ki Mahima Ooch

Hey Man! Hari Naam Ki Mahima Oonchi Hai

Nanak Naami Udhrey Patit Bahu Mooch----3

Hey Nanak! Naam Japkar, Bahut Papi Neech Tar Gaye Hai


Bahut Siyanap Jam Ka Bhau Byapey

Adhik Sugarta Se Yam Ka Bhay Hota Hai

Anik Jatan Kari Trisan Na Dhrapey

Aneko Yatno Se Trishna Nahi Mitati

Bhekh Anek Agni Nahi Bujhey

Aneko Vesho Se Agni Nahi Bujhti

Koti Upav Dargah Nahi Sijhey

Karoro Yatno Se Dargah Nahi Pa Sakta

Chutsi Naahi Ubh Paiaali

Aakash Aur Paataal Mein Bhi Gati Nahi

Mohi Biapahi Maaeaa Jaali

Pratyek Jagah Moh Maya Ka Jaal Vyapak Hai

Avar Kartoot Sagli Jam Daaney

Baaki Sab Karmo Ka Yam Dand Deta Hai

Govind Bhajan Bin Til Nahi Maaney

Hari Bhajan Ke Bina Kuch Nahi Maanta

Hari Ka Naam Japat Dukh Jae

Hari Naam Japney Se Dookh Jaata Hai

Nanak Boley Sahaj Subhaee----4

Hey Nanak! Yeh Swabhavik Hi Naam Smaran Karey


Char Padarath Je Ko Maagey

Yadi Koi Charo Padarath Maangta Hai

Saadh Jana Ki Seva Laagey

Vah Santo Ki Seva Mein Lagey

Je Ko Apna Dukh Mitavey

Yadi Koi Apna Dukh Door Karna Chahta Hai

Hari Hari Naam Ridey Sad Gaavey

Hridaya Mein Sada Hari Ka Naam Japey

Je Ko Apni Sobha Lorey

Yadi Koi Apni Sobha Chahta Hai

Saadh Sangi Iha Haumey Chorey

Santo Ki Sangati Mein Ahankaar Chhodey

Je Ko Janam Maran Te Darey

Yadi Koi Janam Mrityu Se Darta Hai

Saadh Jana Ki Sarni Parey

To Santo Ki Sharan Mein Padey

Jis Jan Kau Prabh Daras Pyaasa

Jis Purush Ko Hari Darshan Ki Pyaas Hai

Nanak Taakey Bal Bal Jaasa----5

Nanak Un Par Kurbaan Jaata Hai


Sagal Purakh Mahi Purakh Pradhan

Sab Purusho Mein Se Vah Purakh Pradhan Hai

Saadh Sangi Ja Ka Mitey Abhimaan

Santo Ki Sangati Se Jiska Ahankaar Mit Jaaye

Aapas Kau Jo Jaaney Neecha

Jo Swayam Ko Neecha Samjhey

Sou Ganiye Sabh Te Oocha

Vah Sabse Ooncha Samjha Jaata Hai

Ja Ka Man Hoi Sagal Ki Rina

Jiska Man Sab Ki Dhuli Ho Jaaye

Hari Hari Naam Tini Gati Gati Cheena

Usne Hari Ka Naam Pratyek Sharir Mein Jana Hai

Man Apne Te Bura Mitana

Jisne Man Se Bura Mita Liya Hai

Pekhey Sagal Sristi Saajna

Sari Shrishti Ko Saajan Dekhta Hai

Sukh Dukh Jan Sam Dristeta

Jo Dukh Sukh Barabar Dekhta Hai

Nanak Paap Pun Nahi Lepa----6

Hey Nanak! Use Paap Punya Nahi Chhatey


Nirdhan Kau Dhan Tero Nau

Garibo Ke Liye Tumhara Naam Dhan Hai

Nithavey Kau Naau Tera Thaau

Jiska Sthaan Nahi Uska Sthaan Tumhara Naam Hai

Nimaaney Kau Prabh Tero Maan

Hey Prabhu Ni:Maano Ko Tumhara Maan Hai

Sagal Gata Kau Devhu Daan

Sab Shariro Ko Daan Do

Karan Karavanhaar Swami

Malik Sab Kuch Karne Wala Hai

Sagal Gata Ke Antarjaami

Sab Shariro Ki Antarbhavna Jaanta Hai

Apni Gati Miti Jaanhu Aapey

Hey Prabhu! Apni Dasha Tum Swayam Hi Jaantey Ho

Aapan Sangi Aap Prabh Raatey

Apne Saath Swayam Hi Rangey Huey Ho

Tumri Ustati Tum Te Hoi

Tumhari Upma Tumse Hi Ho Sakti Hai

Nanak Avru Na Jaansi Koi----7

Hey Nanak! Aur Koi Nahi Jaanta


Sarab Dharam Mahi Tresat Dharam

Sabhi Dharmo Mein Se Ooncha Dharm

Hari Ko Naam Jap Nirmal Karam

Hari Ke Naam Ka Smaran Karna Pavitra Karm Hai

Sagal Kiriya Mahi Uttam Kiriya

Sabhi Kriyao Mein Se Uttam Kriya Unki Hai

Saadh Sangi Durmati Mal Hiriaa

Saadh Sangat Mein Khoti Mat Ki Mel Door Ki Hai

Sagal Udam Mahi Udam Bhala

Sabhi Udhyamo Mein Se Achcha Udhyam Yeh Hai

Hari Ka Naam Japhu Jia Sada

Hey Man! Sada Hari Ka Smaran Karo

Sagal Baani Mahi Amrit Baani

Sab Baaniyo Mein Se Amrit Baani

Hari Ko Jas Suni Rasan Bakhani

Hari Ka Yash Sunkar Jihva Sa Uchchaaran Karna Hai

Sagal Thaan Te Ohu Uttam Thaan

Sabhi Sthaano Se Achcha Vah Sthaan Hai

Nanak Jih Gati Vasey Hari Naam----8----(3)

Hey Nanak! Jis Sharir Mein Hari Ka Naam Basta Hai


GO BACK TO MY HOME-PAGE
GO TO SUKHMANI SAHIB MAIN PAGE
GO TO CHAPTER 4 OF SUKHMANI SAHIB